KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 EPISODE-2 NEXT DAY In ETF Ayesha: - TopicsExpress



          

KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 EPISODE-2 NEXT DAY In ETF Ayesha: Beeti baaten yaad karne ka kya faayda hai Ishita bhool kyun nahi jaati sab kuch Ishita: Bhool jaun, Kehna bahot aasaaan hai Karna utna hi mushkil, mera beta …mera beta us accident ka shikaar hua tha Ayesha: Lekin isme Sakshi ki kya galati hai Ishita: Nahi , Sakshi ki koi galati nahi hai saari galati meri hai … Meri hi akal pe pathhar pad gaye they jo Sakshi jaisi irresponsible ladki ke haath maine apne bête ko lane ki jawabdaari de di thi Itna kehke wo wahan se chali gayi Here in Confrence room Rathod ko ek call aata hai Rathod: O.K Kahan …….theek hai Rathod: Godhara ke jungalon mein char logon ki lash mili hain lets move Godhara ke jungle mein ETF wahan pahonchti hai Ek sub inspector wahan tha Inspector: Arey sahab main to bolta hun aapko faltu main bulake aapka time kharab kiya sahab, Ye murder birder nahi hai sahab Chaar log Jungle ka kanoon todke idhar ghoom raha tha ab aise main Sher cheetah ka shikar nahi banega to kya hoga Inspector: Ye Krishna madam faltu mein aapko bula liya sahab DCP sahab ko bhi pareshan kiya aur aapko bhi Rathod: Krishna madam kaun hain ye Krishna madam Inspector: Yahan ki officer hain badi hi dabang aurat hai yahan pichle 8 saalon se reh rahi hain wo bhi akele junglon mein dar bhi nahi lagta sahab unhone hi DCP sahab ko phone karke bulaya aap logon ko Arjun: Kahan milengi aapki ye Krishna madam Inspector: Wo sahab abhi….main le chalta hun waise abhi jahan hongi wo is jagah se zyada door nahi hai yahan se seedhe jaake dain taraf ek jharana hai sahab wahin milengi Arjun: Jee nahi shukriya main khud dhoondh lunga Pata nahi wo kya baat thi jo Arjun ko us aurat ki taraf khinche jaa rahi thi pehli baar aisa hua tha ki sabse pehle wo us aurat se milna chahta thaw o bhi akeli Wo uski khoj mein aage ki disha mein nikal pada Jab wo wahan pahoncha to dekha ki ek ladki jharno ke beech thi apne aap mein mast , bina kisi pe dhyan sab hasrato se door Kaale libaz mein lipte ye ladki bekhauf , Pichle ek saal mein aisa nahi hua Yahan jharno par madmast ye ladki naha rahi thi gaa rahi thi is baat se anjaan ki koi usey dekh raha hai SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN MERE JAISA DHOONDH KE LAA MERA SAJAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN AISA KAHIN, KOI NAHI AISA KAHIN KOI NAHI AISA HO TO SHAYAD MAIN KAR LUN MILAN AISA HO TO SHAYAD MAIN KAR LUN MILAN JAA JAA JAA RI PAWAN JAA RI PAWAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN (Yahan Arjun usey bas dekhe jaa raha tha, uski aankhon ki gehrai usey apni ore khinch rahi thi usey apni si lag rahi yeh aankhen usey apni ore khinch rahi thi madhosh kar rahi thi, bahot jaani pehchani si lag rahi thi ye aankhen) AAKASH HAI KOI PREM KAVI MAIN USKI LIKHI KAVITA HO, AAKASH HAI KOI PREM KAVI MAIN USKI LIKHI KAVITA MERE JAISA KOI NAHI AAYA JAG MEIN NAVNEETA CHOO NA SAKE, KOI MUJHE CHOO NA SAKE ,KOI MUJHE CHOO LE TO HAYE LAG JAAYE AGAN CHOO LE TO HAYE LAG JAAYE AGAN JAA JAA JAA RI PAWAN JAA RI PAWAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN (Arjun bas ektak hoke usey dekh raha tha jaise koi jaadu koi dor usey uski ore khinch rahi ho , Jaise kuch kehti hon ye aankhen uski , Jaise bahot kuch jaanti hon wo , batana chahti ho hirani jaisi ye aankhe jaise bas usey apne vash mein jaise kar rahi ho) MAIN AAP HI APNI PREMIKA MAIN AAP HI APNI SAHELI HO, MAIN AAP HI APNI PREMIKA MAIN AAP HI APNI SAHELI (Yahan Krishna ne bhi Arjun ko dekh liya tha par wo bahar nahi aayi na usne ye jatan kiya ki usne Arjun ko dekh liya tha, Yahan dusri ore khamoshi se Arjun bas uski aankhon mein khoya tha ) AUR NAHI KOI APNE JAISI BAS MAIN EK AKELI MAIN AAUN TO MAIN JAUN TO MAIN AAUN TO MAIN JAUN TO MUJHKO DEKHE JHUKE GAGAN MUJHKO DEKHE JHUKE GAGAN JAA JAA JAA RI PAWAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN MERE JAISA DHOONDH KE LAA MERA SAJAN SAN SANANAN SANA SANANAN JAA JAA RI JAA RI JAA RI JAA RI PAWAN Wo bahar aayi Arjun chup tha, usne paas pade ek kale shawl jaise kapde se khud ko dhaka Apne baalon ko peechey kiya Arjun ke paas aayi Krishna: ACP Arjun Suryakant Rawte (haath aage badhake,) Krishna Mehta, Senior Inspector Krishna Mehta Arjun ne us se haath milaya phir bhi wo chuo tha kuch kaha nahi Haath chodke Krishna seedhi apne tent mein chali gayi Apne libaaz ko badalke phir waisa hi ek libaaz pehen ke bahar aayi Krishna: Chalen ACP sahab Wo aage chaldi Arjun jaise hypnotise sa hoke uske peechey chala aaya Rathod: Oh to aap hai Krishna: Jee han main Krishna Mehta , Senior Inspector yahan ki officer Krishna Mehta Rathod: Pleased to meet you (haath milake ) Krishna: Mee too Tabhi Shree, Liza wahan aate hain Shree: Krishna! Krishna: Shree, Shreekant Sen mujhe pata tha ki tum mujhe yahan zarur miloge Shree Krishna hug each other, Chotu aankhen phad ke muh khol ke dekhta hai Shree: Kahan ho tum , aur yahan milogi ye to expected hi nahi tha pichle 12 saal se college ke baad se ho kahan tum , Zinda ho, koi phone nahi na koi mail na koi khabar nothing Krishna: In jungalon mein bas janwaron aur Pedon ke beech kuch aur nazar kahan aata hai in se zyada nasha kisi sharab kisi drug mein nahi ya tak ki tumhare gadgets mein tak nahi, Inhi ke nashe mein dhut thi Krishna: Kaisi ho Liza Liza(giving a fake smile): good Shree: Sir , sir ye meri class friend hai meri bahot acchi dost Arjun: Wo to dikh raha hai , case pe aayen Krishna: Zarur, lekin kaafi hairani hui, ye jaanke ki aap bolte bhi hain pichle pandrah minute se khamosh jo they Rathod: Ye laashen tumhe kahan se mili Krishna: Roz Ki tarah in junglon ka dohra karne ke liye jab main jungle ke beechon beech gayi to in laashon ko paaya Liza un bodies ko check karne lagi Ishita: Lekin kahan? Krishna: Jungle ke beechon beech Ishita: Lekin ye log jungle ke beechon beech kya kar rahe they Krishna: ye yahan kaise aaye kya kar rahe they ye to pata nahi chala, lekin ye log kaun hai ye zarur pata laga hai in logon ke identity card mile hain Laashon ke identity cards dete hue Krishna: Ye inke I cards Arjun: In sab ke I cards dekhke pata chalta hai ki ye log sab ek hi umra ke hain aur ek hi college mein padhte they Krishna: hmmm Liza: Sir in logon ko bodies dekhke lagta hai ki sab natural deaths hain kyunki in logon ke bodies pe panje mile hain yani janwaron ne maarke khaya hai bodies ko dekhke yahi kaha ja sakta hai baki sab forensic analysis ke baad pata chalega Krishna: Galat agar deaths natural hoti Liza to aap logon ko main yahan bulati hi nahi Liza: Par tum itne yakeen se kaise keh sakti ho Krishna: Tumhara 12 saal ka forensic experience kya kehta hai ye main nahi jaanti lekin in jungalon ka mera 8 saal ka experience ise galat saabit kar dega believe me.. Arjun: To kaho kya kehta hai tumhara ye 8 saal ka jungle experience
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 07:20:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015