KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 EPISODE-3 Krishna: Tumhara 12 - TopicsExpress



          

KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 EPISODE-3 Krishna: Tumhara 12 saal ka forensic experience kya kehta hai ye main nahi jaanti lekin in jungalon ka mera 8 saal ka experience ise galat saabit kar dega believe me.. Arjun: To kaho kya kehta hai tumhara ye 8 saal ka jungle experience Krishna: Koi bhi jaanwar cheetah ho ya bhaalo ye fir sher hi kyun na ho humesha attack karna gale pe direct aatack karta hai taki shikar ko behaal kar sake ye cheez har jaanvar mein hoti hai jaanvar uski shaktiyon ko khatam karna chahta hai Ayesha: Par ye waar peeth pe hain Krishna: Kisine jaanvaron jaise naakhon waali kisi cheez se inhe maara aur phir asli jaanvar inhe aadhe se zyada kha gaye Arjun: Wo jagah dikhao jahan tumhe inki laash mili Krishna: Sure lekin…. Rathod: Lekin kya… Krishna: Yeh ek jungle hai yahan ke kuch niyam hain ,kuch kaanoon hain Rohit: Kaise niyam? kaise kaanoon? Krishna: Ummed hai aapko in neeyamon se koi problem na ho Jungle mein koi hatyar koi bhi gadget le jaana not allowed Sab wahin apni guns rakhne lage ki achanak Krishna: Shree tum special ho tumhe specially bolna padega Shree: Nahi matlab maine to sab de diya Krishna: Ye ghadi kaun utarega? Shree: Pakad liya Krishna: Pakdungi kaise nahi itne saalon ka saath raha hai Koi bhi akele kaisi bhi majburi ho kaisi bhi situation ho akele nahi hoga we will in groups always Kisi bhi tarike ki cheez , niche mat phenkna kuch bhi, anything Aur…. Arjun: Agar tumhare niyamon ki list puri ho gayi ho to chalen waqt nahi hai humare pass Krishna: Jaldbaazi ka kaam shaitaan ka hota hai Rawte sahab, Khair chaliye… Rathod Ayesha aur Chotu ek saath they, Rohit Ishita aur Liza Ek saath aur Arjun Krishna Shree eksaath alag alag Thodi door jaane ke baad Krishna: Aap log chaliye main aati hun Par haan dono alag mat hoiyega Itna kehke wo chali gayi Wo aage badhe jaa rahe they ki achanak unhe kisi ki jhadiyon se aawaz aayi, unhe koi bhaagte nazar aaya Par wo gayab ho gaya Arjun: Shree tum is taraf jao main us taraf jaata hun Shree: Par sir Krishna ne kaha tha ki…. Arjun: Shree! Do as I say Shree: Sir Shree us aadmi ki talash mein ek taraf jaata hai aur Arjun dusri taraf Tabhi ek sher jhaadiyon se nikal ke Arjun ke upar jahapat maarta hai Arjun us se chhotne ki usey hatane ki bahot koshish kar raha tha par wo safal nahi ho paa raha tha Tabhi Krishna wahan aayi Krishna ne us sher ko jhapta aise maano koi sherni ek sher pe jhapti ho na sirf usey Arjun ke upar se hataya balki Sher ko shaant kiya Krishna( sher ko sehlaate hue): Shaant! Shaant ! shaant! Arjun ye sab dekh ke hairan tha Sher aise chala gaya jaise koi baccha apni maa ki baat sunke chala gaya ho Lekin is sab mein Krishna ke libaz ka upri hissa fat gaya tha Arjun usey apni jacket nikaal ke deta hai Wo pehen leti hai Krishna: Shree kahan hai? Tabhi unhe Shree ki cheekh sunai deti hai Wo wahan jaate hain jaake dekhte hain to Shree ko saamp ne das liya tha Krishna: Oh my god maine kaha than a koi bhi akele mat rehna dekha nateeja Tabhi unh eek aur cheekh sunai deti hai Krishna: Aap isey foren bahar leke jaiye aur wahan Sohmji se kahiye wo ilaaj jaante hain ye bhi jaante hain ki davaiyan kahan hai Arjun usey leke jaata hai Yahan Krishna bhaagte hue aa gayi thi Rathod ki bahon mein Ayesha behosh thi Rathod: Ayehsa! Ayesha! Utho Ayesha Krishna : Oh my god isey to bicchu ne kaat liya hai bahar leke chaliye isey Bahar sab aaye Shree aur Ayesha bhi theek ho chuke they Krishna: Kaha tha maine neeyam kanoon mat todna lekin aap logon ko samajh kahan aata hai Paper neechey giraya, akele jungle mein ghume kyun? Krishna ki aankhon mein phir usi tarah ki deewangi usi tarah ki madhoshi nazar aa rahi thi Arjun ko Arjun: Jo bhi ho hume investigation to karni hi hogi Krishna: I know that and I know this better than you Ab aap please please mujhe follow karenge please Arjun: Tumhare hisaab se ab aage kya karna chahiye hume Krishna: Subah hone ka intezaar Raat ho chuki thi Arjun wo sab notice kar raha tha Krishna aankhon mein Na jaane kyun baar baar jaise usey wo aankhen bula rahi thi kuch keh rahi thi Krishna so gayi thi hawa chal rahi thi Uski zulfen reh reh ke usey tang kar rahi thi Par Arjun ab bhi Usi ki shokhi mein khoya tha jaise wo khud kuch kehna chah rahi ho Yahan Ishita ke dimag mein phir se wahi sapna aa raha tha wahi jo pichle 2 saalon se uske zehen mein aa raha tha Ishita zor se chillai Ishita: Ayur! Rohit uski cheekh sunke utha Usne foren usey gale se lagaya Rohit: Shh chup chup chup bas rona band karo Ishita bas main yahi hun hun kuch nahi kuch haan Ishita: Mujhe mujhe … Rohit: Hmmm Ishita: Mujhe abhi abhi Aashi se baat karni hai abhi Rohit: Aashi so rahi hogi hum , hum us se kal savere baat karenge hmm Ishita: Nahi Rohit abhi us se baat karni hai wo… Rohit: Ishita, abhi so jao hum kal subah uthte hi us se baat karenge hmm so jao Ishita ko wo letata hai Rohit ne uska haath pakda tha usey sulaya Rohit(in mind): Pichle do saal se tum bas yahi sapna dekhke uth jaati ho kab tak chalega ye sab NEXT MORNING Phir waisa Bhoora Libaz pehenke Krishna saamne aayi Ab bhi yahi sawal Arjun khud se kar raha tha Ki aisi kya baat thi Jo usey uski ore le jaa rahi Phir uski aankhon ki wahi shokhi wahi bechaini wahi algaav, Wahi madhoshi jo usey dikhai de rahi thi Krishna: Accha laga logon ko kal raat ke bekaar experience ke baad phirse yahan dekhke Arjun: Us jagah pe nahi jayenge Krishna: Jaayenge lekin main nahi Rathod: Main nahi matlab Krishna: Main nahi matlab aap log samajdaar hain us jagah ko dhundhne mein waqt nahi lagega aap logon ko Main yahan ke bheel bheelniyon se puchtach karke aati hun shayad kuch pata chale kyunki main un logon ki bhaasha jaanti hun Arjun: To theek hai Main wahan chalta hun tumhare saath Krishna: Sure( Palken uthake usne aise hi dekha usey jaise bas aankhon se uska shikaar karne waali ho) Krishna aur Arjun wahan gaye jahan bheelon ka ilaka tha Puchtach karne par pata chala ki wahan koi Bada hatakata jacket wahan in logon ak picha kar raha tha Arjun: Krishna aise kisi aadmi ko jaanti ho tum Krishna: Jaanti to hun Arjun: Kaun? Krishna: George yahan ka caretaker Arjun: Caretaker Krishna: Haan lekin bina sabot uspe shak karna bebuniyad hai
Posted on: Sat, 06 Jul 2013 07:21:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015