KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 Episode-15 Arjun sab kuch jaan - TopicsExpress



          

KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 Episode-15 Arjun sab kuch jaan chukka tha lekin phir bhi ek ajeeb sa khichaav ek ajeeb sa ehsaas tha jo usey ab bhi Krishna ki taraf , uski aankhon ki taref kheench raha tha...... HERE IN BORIVALI POLCE STATION Kallan: Wo 2 saal pehle apun Delhi gaya hua tha jail todke bhaaga tha police dhoondh rahi thi chaaron ore apun ko phir apun jaise taise chupte hue Chandni Chauk pahuncha wahan bhook lagi apun ko to do kuch khaane ke liye maanga to tumare bachhe ka photu apun ek akbaar mein dekha Phir agle din jab apun aise hi bahar nikla sahab to dekha ek burkaband aurat tumhare bacche ko ek riskshaw mein bithake ke le jaa rahi thi pehle to apun ko yakeen nahi hua , isiliye uske pichu pichu apun gaya to wo wahin thi chandni chauk mein ek kholi mein thi phir whan se wo wapis aayi aur tumhare bacche ko leke Wahan se kidar gayab ho gayi malum nahi mem sahab apun uska peecha bhi kiya pan wo achanak kahin chali gayi Phir wo apun ko kahin nahi dikhi Ishita: Thank god , Iska matlab Ayur zinda hai suna tumne Rohit Ayur zinda hai Rohit: Haan Ishita, Kahan dekha tha tumne usey Kallan: 12/156, Purana bazaar, Chandni chauk Rohit: Theek hai Inspector iska statement le lo Hume foren Dillli nikalna hoga Ishita: Haan abhi chalo Rohit main aur sabra nahi rakh sakti IN THE NIGHT Arjun : Tumhe ghar chod deta hun Krishna: Its fine main chali jaungi Arjun: Zid mat karo Krishna Krishna chalne lagti hai Thodi der baad wo log Krishna ke ghar jaate hain KRISHNA’S HOUSE Wo andar jaate hain Krishna: Baithiye Arjun baith jaata hai Thodi der baad achanak light chali jaati hai Krishna: Ye achanak light ko kya ho gaya Wo kahin jaane lagi Arjun: Itne andhere main kahan jaa rahi ho Krishna: Maine kaha na mujhe andhere ki aadat hai, candles lene jaa rahi hun Arjun: Theek hai Thodi der baad Arjun ko koi chaya dikahi di wo us taraf gaya usne dekha ki wo Kitchen ki taraf jaa rahi hai Wo sedha Krishna ki taraf gaya Krishna candle jala ke khadi thi Krishna ko usne dekha ki koi usey nuksaan pahonchane waala hai usne uska haath pakad ke usey apni taraf kheecha aur usey neechey jhukaya TUJHE MILKE LAGA HAI YE TUJHE DHOONDH RAHA THA MAIN TUJHE MILKE LAGA HAI YE TUJHE DHOONDH RAHA THA MAIN Krishna uske is ajeeb behaviour se pareshan thi par is se pehle ki wo kuch bol paati Arjun ne ek haathse uska muh band kar diya, Is jahapat mein Krishna ki candle se momb girne laga aur jis se Arjun ka haath bhi jal raha tha par usne kuh nahi kaha aur candle bujha di Krishna is harkat ki wajah se bechaini se usey dekh rahi thi aur Arjun uski aankhon se kiye sawalon se uski annkhon mein phir khone laga tha TUJH MEIN HAI KUCH AISI SUBAH SA JISKI KHAATIR MAIN THA JAGA SA AA TU MERE KHWAAB SAJA JAA RE Phir thodi der baad usne dekha ki wo jaa chukka tha Jo Krishna par attack karne waala tha Arjun ne usey choda Krishna: Ye sab kya tha Arjun: Koi tumhe dobara maarne ki koshish mein tha Thodi der baad light bhi aa chuki thi Krishna ne dekha ki Arjun ka haath jal chukka tha Krishna: Arey aapka haath jal chukka hai Arjun: Theek ho jaayega Krishna: Aise kaise theek ho jaayega, ek minute main barf leke aati hun Arjun: Tumhe pareshan hone ki zaruat nahi waise bhi mujhe ab jaana chahiye Krishna: Rawte sahab please Arjun: Maine kaha na tumhe pareshan hone ki zaruat nahi Krishna: Rawte sahab! Zid mat keejiye , ye mera ghar hai , aapka ETF ka office nahi, jo aap mujhpe hokum chala saken aur waise bhi kaha jaata hai aana mehmaan ki marzi se jaana mezbaan ki marzi se so please Arjun: Lekin.. Krishna: Yun samajh leejiye ki apna karz chukka rahi hun Arjun: Karz?? Krishna: Jungle mein jo aapne meri jaan bachai aur aaj abhi bhi jo aapne kiya wo karz hai jise main chukka rahi hun Krishna freezer se barf nikalti hai aur Arjun ke haathon pe lagane lagti hai, aaj phir usey Krishna ki aankhon mein wo kashish nazar aa rahi thi jo usne pehle kisi ki ankhon mein dekhi thi, Phir wo iski gehrai mein jaise doobne laga TUJHME HAI KUCH AISI SUBAH SA JISKI KHAATIR MAIN THA JAGA SA AA TU MERE KHWAB SAJA JAA RE DIL ROYE YA ILAAHI TU AAJA MERE MAAHI DIL ROYE YA ILAAHI TU AAJA MERE MAAHI DIL ROYE YA ILAAHI TU AAJA MERE MAAHI MERE MAAHI, MERE MAAHI, TU AAJA MERE MAAHI Krishna: Ye leejiye ho gaya Arjun: Main chalta hun NEXT DAY Arjun akele tha office mein wo subah se hi aake baitha hua tha Sakshi ke uski zindagi mein aane ke baad aur Varun ke baa dab ghar jaana jaise ek majburi ya aadat si ban gaya tha uski , waqt aur dil to ab bhi uska ghar mein lagta nahi tha Tabhi wahan Krishna aayi Lehlehate khule baal aur naak mein choti si nose ring Aaj kuch alag andaaz mein saamne aayi wo jaise kuch tha palkon pe girte hue baal usey baar baar pareshan kar rahe they Arjun uski inhi aankhon mein jaise khye jaa raha tha phir wahi ehsaas jaise kuch ab bhi baaki ho ab bhi kuch zahir karna chah rahi hon Tabhi palken uthake usne Arjun ko dekha, muskurake adab se sar uthaya Apne baal apne chere se hataya aur haste hue boli Krishna: Good morning sir Ye pehli dafe tha jab wo muskurakar kuch boli thi wo bhi Arjun se kyunki is se pehle har baar jab bhi mulakat hui to takraar ke saath hui Arjun: Good morning Krishna: Aapka haath theek hai ab Arjun : haan Tabhi Shree aata hai Shree: Sir Vo Rathod sir ka phone aaya tha,Wok eh rahe they ki wo Rohit sir aur Ishita mam ke saath Delhi mein hi unki madad karenge, aur sir wo.. Arjun: Sir wo us Vikram ka address mil gaya, aur sir wo Swapnil ka bahot purana address ek jagah pe darz hai pata nahi sahi hai ya nahi Arjun: Theek hai Shree tum aur Chotu jitni jaldi ho sake us adrees ko verify karo aur main aur Krishna us Vikram ke ghar jaate hain Shree : Right sir Sab nikal pade apni apni manzil pe Here in Vikrams house Saara ghar puri tarah seDhul bhaara tha jaise saalon se koi na aaya ho Arjun: Tum us kamre mein jao main is kamre mein dekhta hun , kuch milta hai kya Krishna: O.K. Krishna us kamre mein kuch talash kar rahi thi tabhi uske haath ek kitab lagi “ANKAHI SATYA DASTAN” Krishna: Ye to wahi kitaab hai jo Arjun sir ne batai thi aakhir aisa kya hai is kitaab mein aur ye yahan kaise aayi Krishna usey padne lagi Yahan dusri taraf Arjun har kamre mein check kar chukka tha Aadaha ghanta ho chukka tha par abhi tak Krishna nahi lauti Arjun usey dhoondhne us kamre mein jaata hai Arjun dekhta hai Krishna buri tarah se ghabrai hui thi uske haath mein wahi kitaab thi jise wo dhoondh raha tha, Wo ro rahi thi chup karane par bhi bas ro rahi thi , Jab Arjun ne usey padha jis panne pe uska haath tha uske bhi pairon tale zameen khisak gayi Arjun: Krishna! Krishna calm down please calm down, ro mat stop crying.... Wo Krishna ko hug karta haiusey chup karane ki koshish karta hai par wo bas roye jaa rahi thi Uska badan pura thanda pad gaya thaw o jaise thar thar kaamp rahi thi Arjun: Aisa kuch nahi hoga Krishna: Main marna nahi chaahti, main marna nahi chahti Arjun: Just look at me kuch nahi hoga O.k kuch nahi hoga hmm Krishna: Main marna nahi chaahti Aisa kehte wo Arjun ko gale lagati hai Arjun: Bas rona band karo sh.... kuch nahi hoga
Posted on: Sat, 10 Aug 2013 14:49:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015