KEYA 20 RIKAT TARAWEEH SUNNAT-E-MUAKKEDA HAI--? - TopicsExpress



          

KEYA 20 RIKAT TARAWEEH SUNNAT-E-MUAKKEDA HAI--? PICHLE SAAL 2012 RAMAZAN ME EK MUQUALLID(JAHIL) ,,MAULWI OBAIDULLAH QUASMI,,NE EK ISHTEHAR SHAYA KIYA THA JISKA UNWAAN THA,,20 RIKAT TARAWEEH HI ASAL SUNNAT HAI,,ISI K SAFA 2 PER TARAWEEH K SUNNATE MUAKKEDA HONE KI DALIL DI,AUR ISI ISHTEHAR K AAKHIR SAFA 6 PE IBN-E-TAIMIYA RA KA FATWA NAQUAL KIYA K,,AGER KISI K LIYE SUNNAT WAZAH HO CHUKI HO PHIR IS SUNNAT KE ELAWA DOOSRI BAAT KO BEHTER SAMJHE TO WHO ZAAL MUBTADA BULKE KAFIR HAI,,. APNI FITRAT K MUTABIQ IS MUQUALLID MAULWI NE SARI SAHI BATON KO HAZAM KER LIYA AUR ZAYEEF KAMZOR REWAYET KO PESH KERDIYA AUR TASSUB ME ITNA BADH GAYE K KHUD APNE HI FIQUAH HANFI KO BHOOL BAITHE, APNE HI HANFI DEOBUNDI MUHADDESEEN KO JAHIL SABIT KER BAITHE. 20 RIKAT TARAWEEH K BARE ME ULMAYE MUQUALLEDIN HANFI KA MAUQOOF; 1-IBN-E-HAMMAM HANFI RA FARMATE HAIN—IS BAHAS(YANI 8 AUR 20 RIKAT TARAWEEH)KA HASIL KALAM YE HAI K QUEYAME RAMZAN (TARAWEEH)JO SUNNAT HAI WO TO, 11,RIKAT HI HAI((YANI 8 RIKAT TARAWEEH AUR 3 WITR))JISKO RASOLALLAH SAW NE APNE FEAL SE BAJAMAT ADA KIYA (FATAH-UL-QUADEER SHAHA HEDAYA ,JILD 1) AUR AAGE FARMATE HAIN 20 RIKAT TO MUSTAHAB (NAFIL) HAI-AUR 20 MESE WHO MAQDAR (8 RIKAT) HI SUNNAT HAI. (((YAAD RAKHEN K HEDAYA WO KITAB HAI JISKO HANFI MISL QURAN SAMAJHTE HAIN))) ISI TERHA ALLAMA AYENI HANFI KI KITAB ,,UMDATUL QUARI JILD 5,SAFA 359 TABA MISR,,ALLAMA ZAILI HANFI KI KITAB NISBULRAYA,SAFA 493,,ALLAMA SINDHI HANFI KI KITAB SHARHA TIRMIZI JILD 1,SAFA 423,, KA MUTALA MUQUALLIDON K LIYE MUFEED HOGA. 2-ANWAR SHAH KASHMIRI HANFI DEOBUNDI FARMATE HAIN—NABI SAW SE TARAWEEH KI 8 RIKAT HI SAHI SANAD SE SABIT HAI-20 RIKAT WALI REWAYET KI SANAD ZAYEEF HAI JISKE ZAYEEF HONE PER SUBKA ITTEFAQ HAI (AL-URFUL SHAZI-SHARHA TIRMIZI) 3-ZAKERIYA KANDHI WALLI( MUSANNIF FAZAYELE AMAL) FARMATE HAI—ISME KOE SHUK NAHI K TARAWEEH KI 20 RIKATON KI TEHDID TAAYYUN NABI KARIM SAW SE USOOLE MUHADDESEEN K TARIQUE PER SABIT NAHI HAI-AUR JO REWAYET IBN-E-ABBAS RZ SE 20 RIKAT K MUTALLIQ MERWI HAI WO BA USOOLE MUHADDESEEN MAJROOH AUR ZAYEEF HAI (AU JUZ AL MASALIK JILD 1,SAFA 397) HANFI KI KITABON SE 8 RIKAT TARAWEE KI DALIL; I-ABU HANIFA RA NE MOHAMMAD BIN ALI BAQUAR SE REWAYET KIYA K NABI SAW ISHA AUR FAJR KE DERMEYAN 8 RIKAT PADHTE AUR 3 RIKAT WITR PADHTE PHIR SUNNATE FAJR PADHTE (KITABUL ASAAR ABU YUSUF MATBUA BAIROOT HADEES NO 170 SAFA 34) 2-RAAT KI NEMAZ NABI SAW KI KUL 13 RIKAT HOTI THI JISME WITR KI 3 AUR FAJAR KI SUNNAT 2 RIKAT SHAMIL THI (MUSNAD IMAME AZAM BAAB,5,FI SALAT SAFA 388 JILD 1) 3-MUFTI NAZEER HANFI FARMATE HAIN- DAUD BIN HUSAIN SE MARWI HAI K ARJ NE KAHA K MAIN NE LOGON KO PAYA K WHO RAMZAN ME KUFFARON PE LANAT BHEJTE AUR IMAM 8 RIKAT ME SURE BAQRA PADH DALTA,PHIR JUB KABHI KISI DIN 12 RIKAT IMAM TARAWEEH PADHTA TO LOGON KO MAHSOOS HOTA K IMAM NE QUERAT ME TAKHFIF KERDI,MOATTA IMAMA MALIK, ISKI SANAD SAHI HAI AUR KISI NE ISPER KALAM NAHI KIYA HAI ((RASOOLE AKRAM KA TARIQUAE NEMAZ SAFA,303-MUFTI NAZEER)) MAINE SIRF HANFI KI KITABON SE HI 8 RIKAT K SAHI AUR 20 RIKAT KO GHALAT SABIT KIYA HAI ,JIN LOGON KO 8 RIKAT K SAHI HONE KI HADEES JANNI HO TO WO SIHA SITTA YA AUR BHI SAHI HADEESON KA MUTALA KERLEN. HUM GHAIR MUQUALLIDO KO KISI KO KAFIR SABIT KERNE K LIYE KISI OLMA K FATWE KI ZAROORAT NAHI JAISE ,OBAIDULLA QUASMI,KO IBN-E- TAIMIYA RA K FATWE KI ZAROORAT PADI HUM TO SIRF QURAN KI AYAT PESH KERDETE HAIN—ALLAH TALA FARMATA HAI--- AUR JO SHAKHS BAWOJOOD RAHE HEDAYET WAZEH HO JANE K BAAD BHI RASOLALLAH SAW K KHILAF KARE AUR TAMAM MOMINO KI RAH KO CHOR KER CHALE TO HUM USE UDHAR HI MOTAWAJJAH KER DENGE JIDHAR WO KHUD MOTAWAJJAH HUA HAI AUR DOZAKH ME DAAL DENGE WO LAUTNE KI BAHUT BURI JAGEH HAI (AL-NISA-115)
Posted on: Mon, 15 Jul 2013 18:09:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015