KHANA KABA AALAH ki ebbadat ka khas markaz hai .iss wajah sy - TopicsExpress



          

KHANA KABA AALAH ki ebbadat ka khas markaz hai .iss wajah sy issko BETTULLAH kaha jata hai .ALLAH ka yeh azeem ghar sab sy pehly farishtoon ny koh e tor, koh e reeat, koh e tur e seena or koh e hira sy pathar la kr aeen betulamoor ky neechy tameer kiya tha jo bad main kai bar gira or phir sy tameer huwa.... doosry bar HAZRT ADAM ( aleh salm) ny iss jagah ko koda or hazrt AMMAN HAWA ky sath mill kr tameer kiya. jab tameer mukamal huwi tu WAHI ky zaree ALLAH ny bataya ky yeh roye zameen pr ALLAH ka pehla ghar hai or app nabi ADAM( aleh salm) tavaff krny waly pehly insaan hain. tesree mrtabah HAZRAT SEESH ( aleh salm)mumary KABA bany . HAZRAT IBRAHIM ( aleh salm) or HAZRT ISMAEEL ( aleh salm) ny ALLAH ky hukam say chothi mrta KABA ki tameer ki HAZRT ISMAEEL ( aleh salm)mazdoor ban kr panch kisam ky pathr laty or HAZRAT IBRAHIM ( aleh salm) mumar ban kr in pathroon ko jorty . iss waqt KHANA KABA ki lambai 48 fet blaind 13.1/2 fet chorae 33fet thi. panchvn mrtaba BANU jarahim or chati mrtba AMALAQA satveen mrtaba quresh e MAKAH ny tameer ki sermaye ki kami ki wajah sy hateem wala hissa tameer na hosaka.....HIJRA E ASWAD ka waqia bhi issi tameer ky duran peesh ayya . iss waqt KHANA KABA ki bulandi 27 fet chorai 35 fet or arz 33 fet tha ... athveen mrtaba ABDULLAH BIN ZUBIR ny tameer ki or hateem wala hisa bhi iss main shameel kiya or 2 drwazzy bhi rakhy ..... yeh tameer 10 saal tak qaeem rahi ....iss waqt iss ki lambai 48.1/2 chorai 33fet thi ... nooven mrtaba HAJAJ BIN YOUSUF ny HATEM ko phir alag kr diya jo ajj tak ussi jagah qameem hai maqrabi derwazzy ko band kr diya or masraqi drwaza qad e adam oncha kr diya . 19 shaban 1039 ko teen din mosla dhar barish ki wajah sy BEET ULAAH ki deewarain gir gaye or MASJID E HARAM jheel ban gaye. dusveen mrtaba SULTAN MURAD IBNE SULTAN AHMAD KHAN ny in deewaroon ko dubara tameer kiyaiss tameer ko 6 mah lagye. iss tameer or Hajaj bin yousaf ki tameer ka drmiyani arsa 966 saal hai . issky bad iss main koi tabdeeli na yae balky TUKOON ky dur main tamer or muramt ka kaam hota raha .iss azeem tamer main bary bary pathron ka istamal hai jin pr sufid siment ki tape ky numayain nishan hain. mojudah emart ki onchai 49 fet lambai 40 fet or chorai 33 fet hai . SAUIDI frmanaoon nay 1399 main BABE KABA pr taqreeban 200kg gold ka kaam krwaya. soony ky pathroon pr ALLAH KA BABRKAT naam hai . 1932 main ASAUD khandan ki hakoomat shuroo huwi tu KHANA KABA ki khubsurti main izzafy ky liye mazeed mansooby banye gaye or GILAF E KABA pr muktalif mumalik ky kasheeda karoon ny 3 saal lagee. Ajj bhi KHANA KABA ky drwaazy ki chabi hifazt ky liye ussi qabely ky pass hai jis qabeely ko HAZOOR E AKAM (p.b.u.h) ny fatah e makkah ky moqy pr atta ki thi. derwaza ki lamabi 3 metr or chorai 2 meter hai. drwazy ki sakht main REDIUM ka issatamal hai jo gold sy bhi kai gunah mehnga hai. drwaza firsh sy 7 fet uncha hai. KHANA KABA ky char kony hain . rukny HIJRA E ASWAD, RUKNY IRAQI, RUKNY SHAMI, RUKNY YAMANI . yeh rukan in mumalik ki simtan bhi zahir krty hain .janoob masriqi kona main taqreeban 5 fet ki bulaindi pr hijra e aswad chandi ky frame main nasb hai.. KHANA KABA duniya ky wasst main hai. iss zameen ka naff or UMUL QURA (shroon ki MAA) krhty hain.jab ALLAH ny zameen peda frmaye tu pani sy sab sy pehly KHANA KABA wali jagah zahoor pazeer huwi. mujooda matwali SHIEKH ABDULL AZIZ SHAEABI hai or inky pass KHANA KABA ki chabi 1500 saal sy mujood hai.KHANA KABA ky inder frsh sy taqreeban 8 ft tak deewaroon pr nihayat khoubsurt sang e mur mur laga huwa hai jis pr QURANI ayat kundah hain. sang e mur mur ky ooper SABZ rang ka gilaf chat tak jata hai.frsh pr bhi sang e mur mur laga huwa hai. KHANA KABA ky ander roshni ka koi intazam nahin hai lakien KHANA KABA ki sireeh main lagi light sy inder roshni ki jati hai. KHANA KABA main aik drwaza hai jis sy aik seerehe chaht (ROOF)tak jati hai lakien yeh drwazza band rehta hai. KHANA KABA ko hr saal GULAB ky pani or dosree khushboon sy gusal diya jata hai or malmal ky sufid kapry sy iss kushk kiya jata hai. gusal ky liye poori duniya sy eham shaksiyat ko madu kiya jata hai. yeh gusal yakam SAHABN ko namze FAJAR ky bad diya jata hai. KHANA KABA ky aeen opper asman pr BET UL AMOOR hai jiska farishty tawaff krty hain or farishtoon ky liye ebadat ka gher hai.ager BET UL AMOOR sy koi cheeznichy girai jaye or hawa iss main rukawat na daly to woh cheez KHANA KABA ki chaht(rrof) sy ain wast main akr giry gi. GILAFFE KABA pr khas soony (gold) ki taroon sy QURANI AYAT likhi jati hain.yeh GILLAF 300 karigir tayyar krty hain or ziyyada karigir maraksh sy taluq rakhty hain. HIJRA E ASWAD ky agey sement bhir diya gaya hai asal PATHER sement ky peechy hai. LAELA TUL QADAR ki raat ko JIBRAEEL ( aleh salm) ALLAH ky hukam say farishtoon ki jamaat ky sath KHANA KABA pr hi akr qayam krty hain or tamam INWARAT yahan sy hi jari o sari rhty hain. ALLAH hum sab ko EBADAT KA yeh AZEEM gher dekhna naseeb frmaye! (Aameen) Apni Dua Me Muje Bhi Yaad Karna.. _▄▄_ ♣▒ Åäpkä RëĦäñ ▒♣ (●_●)▼ Plz Like This Page▼
Posted on: Sat, 27 Jul 2013 15:14:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015