KYA AAP JAANTE HAIN? . • SAWAL : Iblees” ki paidaish kistarah - TopicsExpress



          

KYA AAP JAANTE HAIN? . • SAWAL : Iblees” ki paidaish kistarah se hui? . >> JAWAB : Allah” pak ne (Alame Sijjeen) me “Bhedhya” aur “Saanp” ki Shakal me 2 Surat Paida Farmayee… woh dono aapas mile,aur Allah pak ne unse Iblees”ko paida Farmaya. NOTE : Alam-e SIjjeen” usko kahte hai jaha Tamam Kafiron ki Roohen Qaid hoti hain,aur ye Zameen ke Neeche hai. {Ma’arij-Un-Nubuwwa-Jild-01-Safa No-15} . • SAWAL : Iblees” ke “BAAP” aur “MAA” ka Naam kya tha? . >> JAWAB : Iblees ke “Baap ka naam “Khablees” tha… jiski Shakal “Sher” ya “Saanp” ki jaisi thi… aur MAA ka Naam “Nablees” tha,jiski Shakal “Bhedye ki Jaisi thi. {Ma’arij-Un-Nubuwwa-Jild-01-Safa No-15} . • SAWAL : Iblees” jab Jannat” me tha us waqt uska kya naam tha? . >> JAWAB : Hazrat Inb Abbas (RadiAllahu anh) ne Farmaya: uska pahla Naam “AZAZEEL” tha… Imaam Sadi” kahte hain ke us ka naam “AL HARIS” tha… Aur Khitabi ne Bayan kiya hai ke uska Naam “FATRA” tha. {Al Ittiqan Fee Uloomul Quran-Jild -02 Safa No 181} . • SAWAL : Iblees” ka Naam Iblees kyun huwa? . >> JAWAB : Allah paak ki khullam khulla Naa Farmani,aur Hazrat Aadaam (Alaihissalam) se Bugz ki wajah se… woh “KHUDA-E KAREEM” ki har Nemat se Mayoos kardiya gaya… ya woh NEKI aur BADI ko Band Gaan Khuda ke liye Khalat Malat kardeta hai,isliye Iblees Naam se Mash hoor hogay. {Tafseer Naimi-Jild-01-Safa No-310} . • SAWAL : Iblees” kitne Saal tak Jannat ka Khazanchi raha? . >> JAWAB: Hazrat Ka’ab Ahbar (RadiAllahu anh) ne Farmaya : Iblees” (40,000) Saal tak “Jannat” ka Khazanchi raha. {Savi-Jild-01-Safa No-22} . • SAWAL : Iblees” ne Arsh A’azam ka Tawaf kitne Saalo,N tak kiya? . >> JAWAB :Iblees ne Arsh A’azam” ka Tawaf (14,000) Saal tak kiya. {Savi-Jild-01-Safa No-50} . • SAWAL : Iblees” kitne Saalo’n tak Farishto ka Sardar raha? . >> JAWAB : Iblees” (80,000) Saalo,n tak Farishto ke Sath raha.. jisme se (20,000) Saal tak Farishto ko Wa’az-o- Naseehat karta raha… (30,000) Saal tak Malaika Karobeen” ka Sardar raha… aur (1000) Saal tak Malaika” Roohaneen ka Sardar raha. {Jamal-Jild-01-Safa No-50} . • SAWAL : Iblees” kis “Aasman” me kis Naam se pukara jaata tha? . >> JAWAB : Hazarat Ka’ab Ahbar (RadiAllahu anh) se Marwi hai ke “Iblees” ko (1) pahle Aasman” par “AABID” ke Naam se Pukara jata tha… (2) doosre Asman par “Zahid” pukara jaata tha… (3) Teesre Aasman par “ARIF” (4) Chauthe Aasman par “WALI” (5) Panve Aasman par “TAQI” (6) Chhate Aasman par “KHAZIN” (7) Satve Aasman par “AZAZEEL” ke Naam se pukara jata tha. {Jamal-Jild-01-Safa No-50} . • SAWAL : Iblees” par Sabse pahle Laanat kisne ki? . >> JAWAB : Iblees” par Sabse pahle La’nat,Hazrat Jibreel (alaihissalam) ne ki… fir Hazrat Mikail (Alaihissalam) ne… fir Hazarat Israfeel (Alaihissalam) ne… fir Hazrat Izrail (Aalaihissalam) ki thi {Ma’arij-Un-Nubuwwah-Jild-01-Safa No-39} Admin:- Msdi Hasnain Barkati
Posted on: Tue, 08 Oct 2013 15:44:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015