Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai Ke zindagi teri zulfoon - TopicsExpress



          

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai (Poet: Sahir Ludhianvi)
Posted on: Thu, 04 Jul 2013 09:14:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015