Kaha jata hai k Hassan Nisar ko sirf isse Naat Sharif likhnay k - TopicsExpress



          

Kaha jata hai k Hassan Nisar ko sirf isse Naat Sharif likhnay k liye paida kiya giya hai... Terey hotey janam liya hotaa Koi mujh sa na doosra hotaa Saans letta tu aur mein jee uthta Kaash Makka ki mein fiza hotaa Hijraton mein paraoo hota mein Aur tu khuch dair ko rukaa hotaa Terey hujray key Aass pass kaheen Mein koi kacha rastaa hotaa kisi ghazwa mein zakhmi ho ker mein Terey qadmon mein jaa gira hotaa Kaash “Uhad” mein shareek ho sakta Aur baqi na phir bacha hotaa Teri kamli ka soot kiyun na howa Terey shanon pey jhooltaa hotaa Chob hota mein teri chokhat kee Ya terey hath ka asaa hotta Teri pakeeza zindagi ka mein Koi gumnaam waqiaa hotaa Lafz hota kissi mein ayat ka Jo terey hont sey adaa hotaa Mein koi jungjoo arab hota Aur terey samney jhuka hotaa Mein bhi hota tera ghulam koi Laakh kehta na mein rihaa hotaa Sochta hoon mein tab janam leta Jaaney phir kiya sey kiya howa hotaa Chaand hota terey zamaney ka Phir terey hukm sey battaa hotaa Paani hota udaas chashmon ka Terey qadmon pey beh giya hotaa Poda hota mein jaltey sehra mein Aur terey haath sey laga hotaa Teri sohbat mujhey milli hoti Mein bhi tab kitna khushnuma hotaa Mujh pey parti jo teri chashm-e-karam Admi kiya .... mein maujiza hotaa Tukra hota mein ik baadil ka Aur terey sath ghoomta hotaa Asman hota ahed-e-Nabvi ka Tujh ko hairat sey dekhta hotaa Khak hota mein teri galiyoon kee Aur terey paoon choomta hotaa Pair hota khajoor ka mein koi Jiss ka phal tu ney khaa liya hotaa Bacha hota ghareeb bewa ka Sir teri goad mein chupa hotaa Buutt hee hota mein khana-e-Kabba mein Jo terey haath sey fanaa hotaa Mujh ko khaaliq banata ghaar-e-husn Aur mera naam bhi Hiraa hotaa.
Posted on: Sat, 06 Dec 2014 14:50:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015