Kahan Bhaggaye Wahabiyon.. Iska Jawaab do......??? »Shabaan Ki - TopicsExpress



          

Kahan Bhaggaye Wahabiyon.. Iska Jawaab do......??? »Shabaan Ki Pandharween (15th) Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab-e-Barat Hai, Iss Raat Ki Fazilat Quraan Paak Ki(Surah-e-Dukhan Aayat 1-4)Se Sabit Hai. »Allah Ne Qasam Yaad Farma Kar Iss Raat Ko “Lailatul Mubaraka” Kaha. »Allama Aalusi : “Hazrat-e-Akrama Aur 1 Jamat-e-Sahaba Iss Taraf Hai Ke Iss Se Muraad Shaban Ki Nisf Raat (Yani Pandharween Raat Jisey Shab-e-Barat Kaha Jata Hai) Hai”. -:(Tafseer-e-Roohul Mua’ani) »Abu Saud : “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar’at (Nisf Shaban) Bhi Hai”. -:(Tafseer-e-Abi Saood) »Allama Imam Raazi : “Hazrat Akrama Aur Dusre Sahaba Ne Kaha KeYe Lailatul Baraat Hai Jo Shaban Ki 15th Hai”. -:(Tafseer-e-Kabir) »Allama Sawi : “Lailatul Mubaraka Se Murad Shaban Ki 15th Hai. Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusre Sahaba Ka Hai”. »Iss Raat Ke 4 Naam Hai. (1).Mubaraka, (2).Rehma, (3).Barat, (4).Sak. Aur Iss Raat Ibadat Karna Afzal Hai (Saawi) »Hazrat Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi HaiKe, Huzoor Nabi-e-Karim (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jab Shaban Ki Nisf Raat Aaye Toh Tum Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob-e-Aftab Se SubahSadiq Tak Allah Paak Ki Rehmat Ka Nuzool Aasman-e-Duniya Par Hota Hai. Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hai, Khabardar !! Hai Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Kare, Mai Use Bakhsh Dun. Khabardar !! Hai Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Ataa Karun. Khabardar !! Hai Koi Musibat Zada Ke Mai Use Aafiyet Ataa Karun. Khabardar Koi Iss Tarah Hai ? Khabardar Koi Iss Tarah Hai ?” - :(Ibn-E-Maja -Bab Ma Jaa’a Fi Lailatin Nisf Min Sha’ban P#99) »Hazrat Abu Moosa Ash’ari Se Marwi Hai Ke Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Beshak Allah Ki Rehmat Ka Shaban Ke Nisf Ki RaatMe Zuhoor Hota Hai. Allah Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hai Siwaye Mushrik, Logon SeBughz Rakhne Wale, Dushmani Karne Wale”. -:(Ibn-E-Maja) »Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’ala Anha) Se Marwi Hai Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Shaban Ki Nisf Raat Me Saal Me Paida Hone Aur Fout Hone Walon, Baais-e-Rifat Nek Aamal Aur Rizq Ke Asbab Likh Diye Jaate Hai”. -:(Bahaqi, Mishkat Sharif) »Hazrat Urwa Se Marwi Hai Ke Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’ala Anha)Farmati Hai, “Maine Ek Raat Rasool’Allah Ko Gum Paaya Toh Aapki Talaash Keliye Nikli. Aap Baqee(Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Hue They. Huzoor Ne Farmaya, Beshak ! Allah Paak Apni Rehmat-e-Kaamila Se Nisf Shaban Ki Raat (Shab-e-Barat) Aasman-e-Duniya Par Nuzool Farmata Hai. Banu Kalb Ki Bakriyon Ke Baalon Se Zyada Magfirat Farmata Hai”. -:(Tirmizi Sharif) »Huzur Ne Farmaya, “15th Shaban Ko Allah Paak (Ki Rehmat) Aasman-e-Duniya Ki Taraf Nuzool Farmata Hai. Iss Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hai, Siwaye Mushrik Wa Keena Parwar Ke”. -:(Baihaqi) »Ata Bin Yasar Se Marwi;“Koi Raat Lailatul Qadar Ke Baad 15th Shaban Ki Shab Se Zyada Fazilat Wali Nahi”. -:(Baihaqi) »Hazrat Kaab (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi Hai Ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Jibraeel Ko 15 Shaban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hai, Ke Wo Aarasta Hone Ka Hukm Pohncha De Aur Keh De KeAllah Iss Raat Me Aasman Ke Sitaron, Duniya Ke Din Raat, Darakht Ke Patton, Paharon Ke Wazan Aur Rait Ke Zarron Ki Ginti Ke Barabar Bandon Ko AazadKarega”. -:(Baihaqi) »Pandhrah (15th) ShabanKhuda Ki Taraf Se Hikmat Wale Har Kaam Ka Faisla Kiya Jaata Hai Zinde LikheJaate Aur Haji Qalamband Hote Hai Phir Iss Se Na Koi Barhta Hai Aur Na KamHota Hai”. -:(Ibn-E-Jarir, Ibn-E-Manzar, Ibn-E-Abi Hatim)
Posted on: Sat, 22 Jun 2013 17:41:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015