Kahani Lambi Hai ______________________________ Submitted By - TopicsExpress



          

Kahani Lambi Hai ______________________________ Submitted By Jugnu On 28 Oct 2013 ______________________________ Hi dosto pehli bar mai apni kahani DK par shuru kar raha hu main umeed karta hu k dk par meri kahani ko bhi aacha responce milega. to dosto andhkaar apna dera jama chuka tha. Raat apni manthar gati se beeti ja rahi thi. charo aur sannata pasra hua tha. Haan kabhi kabhi siyaro ke rone aur kutto ke bhokne ki awaazon se watavaran mein bisra sannata kshan bhar ke liye bhang hua jata tha. Is waqt raat ke 10 baje the. raipur ke nivasi apne apne gharon mein kucch to chadar taane so chuke the kuchh sone ka prayatn kar rahe the. Sharmili apne ghar ke aangan ki charpai par apne pati sarju ke sath leti hui thi. Uski aankhon se neend gayab thi. wah ek aur karwat liye hue thi. Uski nazrein uske ghar se thode se faasle par sthit us bhavya kaanch ki haweli par tiki hui thi jise thakur jagat singh ne apni dharmpatni radha devi ke muh dikhayi ke taur par banwaya tha. Theek usi tarah jaise shahjahan ne mumtaj ke liye tajmahal banwaya tha. Yahan fark sirf itna tha ki thakur sahab ne ye kaanch ki haweli apni patni ke jeevant kaal hi mein banwaya tha. Thakur sahab radha devi se bahut prem karte the. Shadi ki muh dikhayi ke din hi thakur sahab ne radha devi ko ye vachan diya tha ki wey unke liye ek aisi haweli ka nirmaan karenge jise log yugon yugon tak yaad rakhenge. Aur unhone theek hi kaha tha. Shadi ke saal dedh saal ke bhitar hi thakur saahab ne apna wada pura kiya. Aur ye haweli bataour muh dikhayi radha devi ko bhent kiya. jab ye haweli bankar taiyar hui to dekhne walon ki aankhen chaundhiya gayi. Jiski bhi nazar haweli par padi radha devi ki kismat par rashq kar utha. sharmili roz hi haweli ko dekhti aur thakur ke dil mein radha devi ke liye base us pyar ka anuman lagati. Abhi bhi uski najrein haweli par hi tiki hui thi. syah raat mein bhi yah haweli apni chamak bikherne mein kaamyab thi. Uski bahri roshni se haweli ki deeware jhilmila rahi thi. tatha haweli ke andar se chhan kar nikalti roshni haweli ko indradhanushi rang pradaan kar rahi thi. Sharmili ne palat kar apne pati sarju ko dekha jo ek aur muh kiye leta hua tha. Usne dheere se sarju ko pukara. - aap so gaye kya? Sarju abhi halki neend mein tha sharmili ki awaaz se wah kunmunaya. kya hai? ek baat puchhu tumse sach sach bataoge? Sharmili ne prembhav se apne pati ki aur dekhte hue boli. Uske dil mein is waqt prem ka saagar hilore maar raha tha. lekin sarju ko uske bhavo se kya lena dena tha. Din bhar ka thaka haara apni neend sone ka prayatn kar raha tha. Wah anjaan hokar bola - tumse jhooth bolkar bhi mera kaun sa bhala ho jayega. Sach hi bolunga. tum seedhe seedhe baat kyon nahi karte? sharmili tunak kar boli. Use is waqt pati ke muh se aise bol ki asha na thi. to tum seedhe seedhe puchh kyon na leti, jo puchhna chahti ho? puchho. sharmili is waqt jhagde ke mood mein nahi thi. wah shant swar mein boli - mere marne ke baad kya tum bhi meri yaad mein kuchh banwaoge? sharmili ke ye shabd prem ras mein dube hue the. Un shabdo mein laakhon armaan chhupe hue the. haan....! sarju ne dheere se kaha. pati ke muh se haan sunkar shrmili ka dil jhum utha. Man prem pakheru bankar udne laga. Aaj use is haan mein jitni khushi mili thi ki uska anumaan lagana mushkil tha. Aaj sarju agar is haan ke badle uske pran bhi maang leta to wah khushi khushi apne pati ke liye pran tyag deti. Wah sarju se kaskar chipat gayi aur boli - kya banwaoge? maalik se kuchh rupye karz mein lekar tumhare liye badhiya sa kabra banwaunga. Phir jo paise bachenge un paison se pure gaon mein mithaiyan baatunga. Sharmili ka dil bhar aaya. ankhon se aanshu beh nikle. Apne pati ke dil mein apne liye aise vichaar jaankar uski aatma sisak uthi. Wah sisakte hue boli - kya pandrah saal tumhare sath rahne ka yahi inaam hai mera. Main samajhti thi ki tum mujhe apni ardhangini samajhte ho...prem karte ho mujhse. aaj pata chala tumhare dil mein mere liye kitna prem hai. sharmili ki bematlab ki baaton se sarju ki neend gayab ho chuki thi. Wah jhallakar bola. - Na to main maalik jaisa rayeesh hoon aur na hi tum maalkin jaisi sundar ho. Phir kyon mera magaz kha rahi ho? Sarju ki jhidki se sharmili ka dil tut gaya. Lekin wo abhi kuchh kehti usse pehle hi rooh ko kanpa dene wali ek bhayankar naari cheekh raat ke sannate mein gunj uthi. Yah cheekh haweli se aayi thi. Sharmili ke sath sath sarju bhi chihunk kar charpai se uth baitha. maalkin...! sarju badbadaya aur charpai se utra - lagta hai maalkin ko phir se daura pada hai. Main haweli ja raha hoon. wah teji se apni dhoti kasta hua bola. Phir kurta uthaya aur haweli ke raaste bhagta chala gaya. Sharmili abhi bhi jadwat khadi haweli ki aur taak rahi thi. Uski dil ki dhadkane chadhi hui thi. Uska sharir bhay se haule haule kaanp raha tha. Tabhi phir se wahi dil cheer dene wali cheekh uske kaano se takrayi. sharmili kaanpte hue charpai par let gayi. Haweli se nikli cheekh ne uske apne sare dukh bhula diye the. Ab unki jagah radha devi ke dukh ne ghar kar liya tha. Wah radha devi ke baare mein sochne lagi. radha devi - kaisa azeeb sanyog tha. Thakur sahab ne radha devi ki muh dikhayi ke liye jis haweli ka nirmaan karwaya us haweli ka sukh unhe na mil saka. Bechari jis din is haweli mein aayi usi raat na jaane kaun sa haadsha pesh aaya ki radha devi apni maansik santulan kho baithi. Tab se lekar aaj pure 20 baras tak wo ek kamre mein band hain. Aur isi prakaar ke daure aate rahte hain. Unki is prakaar ke daure ke bare mein sabhi jaante hain par unke sath kya hua? us raat haweli mein kaun si ghatna ghati ki unhe paagal ho jana pada ye koi nahi jaanta. Ye ek rahasya bana hua hai. Sarju haafta hua haweli mein daakhil hua aur seedha maalkin ke kamre ki taraf badh gaya. Malkin ke kamre ki darwaze tak pahunch kar wah ruka. Wahan haweli ke dusre naukar bhi khade bhay se kaanp rahe the. Unme se kisi mein bhi itni himmat nahi thi ki wo andar jakar dekhe ki kya ho raha hai. sarju kuchh der khada rahkar apni ukhad chali saanso ko kaabu karta raha phir dhadakte dil se andar jhanka. Andar ka drishy dekhkar uski sitti- pitti gum ho gayi. Malkin kisi hinsak sherni ki bhanti laal laal aankhon se thakur sahab ko ghure ja rahi thi. thakur sahab ek aur khade thar thar kaanp rahe the. maalkin dayen bayen najar daudati aur jo bhi vastu unke hath lagta uthakar thakur sahab par feink marti. radha....hosh mein aao radha. maalik bhay se kanpte hue dheere se malkin ki aur badhe. humein pehchano radha...hum tumhare pati jagat singh hain. jhooth..... radha devi cheekhi -tu khooni hai.....agar tu mere paas aaya to main teri jaan le lungi. Main janti hoon tu meri beti ko marna chahta hai par usse pehle main tumhe maar dalungi. ye bolkar wo phir se kuchh dhundhne lagi...jisse ki wo thakur sahab ko feink kar maar sake. jab kuchh nahi mila to wo darte hue pichhe hati. Uske hatho mein kapde ki banayi hui gudiya thi jise wo apni beti samajhkar chhati se chipka rakhi thi. Thakur sahab ko apni aur badhte dekhkar uski aankhon mein bhay naach utha. radha gudiya ko apni sari ke anchal mein chhipane lagi. Aur phir kisi vastu ki talaash mein idhar udhar nazar daudane lagi. achanak uski aankhen chamak uthi, use paani ka ek gilaas zameen par gira pada dikhai diya. Wah furti se gilaas uthayi aur bijli ki gati se thakur sahab ko de maari. Yeh kahani aap facebook desi kahaniyan page par padh rahe hain, radha devi ne itni furti se gilaas feinka tha ki thakur sahab apna bachav na kar sake. Gilaas unke mathe se aa takrayi. Wo cheekhte hue pichhe hate. Unke mathe se khoon ki dhar beh nikli. Darwaze ke bahar khada sarju lapak kar un tak pahuncha Aur thakur sahab ko khinch kar bahar le aaya. Dusre naukaron ne jaldi se apne malkin ke kamre ka darwaza bahar se band kar diya. To Be Continued..
Posted on: Thu, 31 Oct 2013 04:14:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015