Kaifi Azmi patthar ke Khudaa vahaan bhii paaye ham chaand se - TopicsExpress



          

Kaifi Azmi patthar ke Khudaa vahaan bhii paaye ham chaand se aaj laut aaye diivaaren to har taraf khadii hain kyaa ho gaye meh’rbaaN saaye jangal kii havaayeN aa rahii hain kaaghaz kaa ye shah’r ud na jaaye Lailaa ne nayaa janam liyaa hai hai Qais ko’ii jo dil lagaaye? hai aaj zamiin kaa ghus’l-e-sehat jis dil mein ho jitnaa Khuun laaye sehraa sehraa lahuu ke Kheme phir pyaase lab-e-Furaat aaye* meh’rbaan : affectionate Qais : Majnuu’s actual name ghus’l-e-sehat : Ritual bath after recovering from sickness sehraa : desert Kheme : tent lab-e-Furaat : Bank of river Euphrates * Alludes to the battle of Karbala.
Posted on: Wed, 14 Jan 2015 06:45:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015