Kal raat maine ek ajeeb sa sapna dekha. Vaise mujhe sapne yaad - TopicsExpress



          

Kal raat maine ek ajeeb sa sapna dekha. Vaise mujhe sapne yaad nahi hote par yah sapna mujhe achchhe se yaad hai aur interesting bhi hai. ek examiner apne students ka exam le raha tha. Har question me 4 option diye the aur unme se kisi ek par tick lagana tha. Usne paper me ek question aise select kiye tha jiske all 4 option answer the. Instructor ne strictly kaha tha ki kisi ek par hi tick lagana. aur galat answer me tick lagane par uske utne hi number kam ho jayenge. Saare ke saare students confuse ho gaye ki kaun sa sahi answer hai. Jaisaa ki hota hai Exam dekar vo bahar aaye aur question paper discuss karne lage. Sabhi ne us single question ke alag alag answer bataye. Koi is baat ko manne ko tyar nahi tha ki vo galat hai. Unke beech bahas start ho gayee. Bahas dekhkar examiner unke pass aaye aur unse puchha kis baat par bahas ho rahee thi. students ne examiner se us question ka answer puchha. Examiner ne kaha " all 4 options is a right answer. agar aapne kisi ek par bhi tick laga diya hota to use us question ke pure number mil gaye hote". Iske baad mera sapna tut gaya aur meri nind khul gayee. Mai samajh nahi paya akhir is sapne ka kya matlab tha aur maine aisaa sapnaa kyun dekha. Par aaj jab maine is sapne ke baare me soch raha tha tab mujhe pata chala is sapne me ek gahree baat kahi gayee hai. Yah duniya bhi ek class room ki tarah hai aur vo examiner GOD hai. God ne khud tak pahunchne ke liye Kai saari raah banai aur insaan se kaha ki apnee marjee se koi ek raah chun le. Par hum un students ki tarah aaj bhi confuse hain aur isi bahas me lage hue hain ki hamari chuni hui raah hi better hai. Aaj vo chahe hindu ho, muslim ho, christian ho ya kisi aur religion ka ho sabme yahi hor lagii hui hai ki uska religion better hai. Hum yah kyun nahi samajhte ki saare religion us God ke paas jane ki raah hain. aur har raah ki apnee apnee obstacles hain. Hum kisi ek raah ko sachche man se follow karen to hamara kalyaan nishchit hai. Pradeep Mittal
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 08:18:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015