Khud Khushi Karna Sahi Ya Galat? …» Jawab : KhudKhushi - TopicsExpress



          

Khud Khushi Karna Sahi Ya Galat? …» Jawab : KhudKhushi (Suicide) Ka Matlab Hai Insan Ka Apne Aap Ko Kisi Bhi Zariye Se Amdan Qatal Karna. Khudkushi Karna Haraam Hai Aur Kabeerah Gunaah Hai.Allah Taala Quraan-e-KareemMe Irshad Farmata Hai Ke,Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!» “Aur Jo Koi Kisi Momeen Ko Qasdan (Danista) Qatal Ker Daale Toh Iss Ki Saza Jahannum Hai, Jis Me Woh Hamesha Rahega, Iss Per Allah Ta’ala Ka Gazab Hoga Aur Iss Per Allah Ne La’anat Ki Hai Aur Iss Ke Liye Bohat Badaa Azaab Tayyar Ker Rakha Hai.”- Surah An-Nissa 4:93.» “Aur Tum Apne Apko Qatal Na Karo.”- Surah An-Nissa 4:29.♣ Khudkhushi Ka Azab :Khudkhushi Ki Hurmat Iss Ayat Ke Tehat Aati Hai. Dusri Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Sabit Hai Ke» Hadees : App ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,“Jis Shakhs Ne Dunia Me Apne Apko Kisi Cheez Se Qatl Kiya, Qayamat Ke Din Isey Issi Cheez Ke Sath Azaab Dia Jayega.”- (Sahi Muslim’ Hadees: 110)» Hadees : Hazrate Saiyaduna SabitBin Jahhak Ra Se Marvi Hai Ke Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,“Jisne Lohe Ke Hathiyar Ke Saath KhudKhusi Ki Toh Usey Jahannam Ki Aag Me Usi Hathiyar Se Sakht Azaab Diya Jayega”.- (Sahih Bukhari Jild:1 Safa: 459 Hadees No. 1363 Bairut)» Hadees : Jisne Apna Gala Ghota Toh Woh Jahannam Ki Aag Me Apna Galaa Ghot’ta Rahega, Aur Jisne Khud Ko Nezaa Mara Woh Jahannam Ki Aag Me Khudko NezaaMarta Rahega.- (Al-Ahsab Bittartib Sahih Ibne Hibban Jild:7 Safa: 590 Hadees No.5955 Bairut)♣ KhudKhusi Ka Elaaj :KhudKhusi (Suicide) Karney Wala Sayad Ye Samjhta Hai Ki Hamari Jaan Chooth Jayegi, Halaki Iss Se Jaan Chhutne Ki Bajayen Narazgi-e-Rabbul-Izzat Azzawajal Ki Surat Me Nihayat Buri Tarah Fass Jati Hai. Khuda Ki Kasam ! Suicide Ka Azab Bardast Nahi Ho Sakega.☼ Khudkusi Ke Sabab (Cause) :● Be Rozgaari (Unemployment)● Mayusi (Depression)● Ishq Mijazi (Love Affair)● Gharelu Jagde (Dispute) Etc.»● Be Rozgaari (Unemployment) Ka Elaaj Quran Se :Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!» Aur Zamin Par Chalne Waala Koi Aisa Nahi Jiska Rizk Allah Aazzawajal Ke Zimam-e-Karam ParNa Ho.- (Surah Hood : 6)» Hadees : Agar Tum ALLAH Ta’la Par Aisa Tawakkul Karo Jaisa Ki Uss Par Tawakkul Karne Ka Haq Hai, Toh Woh Tumhe Iss Tarah Rizk Ata Farmayega Jiss Tarah Parindon Ko Rizk Ata Farmata Hai Ki Woh SubhaKhali Pait Jate Hai Aur Shaam Ko Pait Bhar Kar Palat’te Hai.- (Sunnah Tirimizi, Jild:4 Safa:154 Rakmul Hadees:2351)»● Mayusi (Depression) Ka Ellaj Quran Se :Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!» Aur Jo Allah Par Bharosaa Kare Toh Woh Use Qaafi Hai. – (Surah At-Tallaq, Ayat:3)» Karib Hai Allah Dushwaari Ke Baad Farakhi Ata Farmaa Dega. – (Surah At-Tallaq, Ayat:7)» Hadees : Dunia Moa’min Ke Liye Kaidkhana Aur Kafiron Ke Liye Jannat Hai. – (Sahih Muslim Safa: 1582, Hadees: 2956)» Hadees : Badaa Sawaab Badi Balaaon (Badi Musibat) Ke Saath Hai. – (Sunan Ibne Majaa Jild:4 Safa: 374 Hadees: 4031 Bairut)»● Ishq Mijazi Ka Ilaaj :Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!» Aur Uski Nisaniyon Se Hai Ke Tumhare Liye Tumhari Hi Jins Se Jode Banaye Ke Unse Aaraam PaaoAur Tumhare Aapas Me Mohabbat Aur Rehmat Rakkhi. Beshaq Isme Nisaniyan Hai Dhyan Karne Walon Ke Liye.- (Surah Room : Ayat 21)» Allah Ne Har Ek Ke Liye Rista Pahele Hi Se Mukarar Kiya Huva Hai. Ab Agar Tum Chahte Ho Ki Accha Rista Mile Toh Tum Khud Achhe Ban Jaao Kyun Ke Acchon KeLiye Acche Ka Intejam Hai» Badkaar Aurte(Dirty Women) Badkaar Mardo Ke Liye Aur Badkaar Mard badkaar Aurto Ke Liye Aur Paakiza Aurte (Clean Women) Paakbaz Mardo (Clean Men) Ke Liye Aur Paakbaz Mard Pakiza Aurto Ke Liye Hai. – (Suarh An-Noor(24) :26)Islam Nikaah Se Pehle Ishq Ki Is Liye Mazammat Karta Hai Ki InsaanApni Saari Mohabbaten Uss Ke LiyeBacha Kar Rakhe Jo Inka Asal Haq’dar Hai. Shadi Se Pehle Ki Mohabbat Goya Iss Tarah Hai Jaise Aftari Se Pehle Koi Aftaar Kar Le, Aftaar Ka Maza Bhi Na Raha, Gunaah Ka Mustahiq Bhi Hua, Kaffare Ka Kharcha Bhi, Aur Sazaa Bhi.(Aaj Maa-Baap Aur Larkiyan SikayatKarti Hai Ki Acche Riste Nahi Aate, Toh Yaad Rahe! Tum Allah Aur Uske Rasool Se Apna Rista MazbootKarlo, Inshaa Allah Accha Hi Rishta Ayega.)» Hadees : Jisey Logon Ko Naraz Karke Allah Ki Razajai Ki Allah Use Logo Ki Taklif Se Mehfooz Rakhega Aur Jisney Allah Ko Naraz Karke Logo Ko Khush Karna Chaha Allah Usey Logo Ke Supurd Kar Denga.- (Tirmizi Sharif, Hadees 2414 )» ♣ Gharelu Jagde Ka Ilaaj :(Sab Se Paheli Baat Toh Ye Ki Hume Ghar Me Rehne Ka Tarika T.V. Serial Se Nahi Sikhna Chahiye Aur Naa Hi Tv Serial Hargiz Chahiye)» Aye Khatoon! Apne Naye Ghar KeNaye Mahaol Me Ache Taor-Tareeqa, Dil-Kash Zubaan, Jazba-e-Iisaar,Har Dam MuskurateChehre Sey Jagah Banao…!» Har Maa-Baap Apni Beti Ke Liye Behtar Se Behtar Rishte Ka Intikhab Karte Hain, Lekin Kaamyabi Ki Zamaanat Dar-Asal Beti Ki Apni Salahiyyat Hoti Hai.» Aurat Ke Haath Lambe Aur Zubaan Chhoti Honi Chahiye, Matlab Use Kaam/Khidmat Zyada Karna Aur Bolna Kum Chahiye, Taaki Wo Achchi Nazar Se Dekhi Jaye.» Ladkiya Apne Sasural Se Darri-Darri Rehti Hai Aur Iske Muqable Me Baat Baat Par Apne Mayike Walo Ka Dum Bharti Hai, Yeh Aadat Jhagde Ki Wajah He.» Sabaq : Khudkhushi Ka Irtekab Kerne Wala Aam Tour Per Tangi Halaat Ki Wajah Se Aisa Kerta Hai. Aise Halaat Allah Ta’ala Ki Taraf Se Hon Ya Logo Ki Taraf Se Woh Masaib-O-Alaam Ko Bardasht Nahi Kerta Aur Apni Jaan Ka Khatma KerLeta Hai.Uss Shakhs Ki Misaal Garmi Ki Tapish Se Bachny Ke Liye Aag Ki Panah Lene Wale Ki Hai. Woh ChotiSe Bari Musibet Ki Taraf Muntaqil Hojata Hai. Agar Woh Sabar Kerta To Allah Ta’ala Issy Masaib Berdasht Kerny Ki Toufeeq Ata Farma Deta Aur Phir Iss Ke Halaat Badal Deta.
Posted on: Mon, 25 Nov 2013 17:12:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015