Kya Aap Jaante Hain? . *SAWAL : Quran ka Nuzool kitni baar - TopicsExpress



          

Kya Aap Jaante Hain? . *SAWAL : Quran ka Nuzool kitni baar huwa aur kab kab huwa? . >> JAWAB : Quran ka Nuzool 2 baar huwa... Pahli baar Poora Quran LAUH-E MAHFUZ se Aasman-e Duniya ke Baitul Izzat (Baitul Maamoor) me Nazil kardiya gaya, ye Nuzool LAILATUL QADR me Nazil huwa... Doosri baar RASOOL-E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) par thodo thoda hasb haal ya hasbe Zarurat hota raha, aur ye 23 Saal me Nuzool Mukammal huwa. (Al Ittiqan fi Ulumul Quran, Jild - 1, Safa No - 35) . * SAWAL : Quran pak me kitne Ambiya-o Mursalaneen ke Naam aayen Hain? . >> JAWAB : Quran Pak me (25) Ambiya-o Mursalaneen ke Naam aayen hain... Woh ye hain >> (1) Hazrat Aadam. (2) Hazrat Nooh. (3) Hazrat Idrees. (4) Hazrat Ibraheem. (5) Hazrat Ismail. (6) Hazrat Ishaq. (7) Hazrat Yaqoob. (8) Hazrat Yusuf. (9) Hazrat Loot. (10) Hazrat Hood. (11) Hazrat Saleh. (12) Hazrat Shoeb. (13) Hazrat Moosa. (14) Hazrat Haroon. (15) Hazrat Dawud. (16) Hazrat Sulaiman (17) Hazrat Ayyub. (18) Hazrat Zulkafl. (19) Hazrat Yunus. (20) Hazrat Ilyas. (21) Hazrat Al Yasaa. (22) Hazrat Zakarya. (23) Hazrat Yahya. (24) Hazrat Eisa. (25) or hamare piyare Aaqa Ahmade Mujtaba MUHAMMAD MUSTAFA (Alaihimussalato wassalam) ke Naam aayen hain. . * SAWAL : Quran pak me Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Kitne Naam Aayen hain? . >> JAWAB : Quran pak me, hamare Aaqa bekason ke kas bebaso ke bas Lambe Lambe Hathon se bheek dene wale, ham gareebo ke Madadgar Andheri Qabr me Jalwa dikhane wale Aaqa Muhammad (Sallallahu Alaihi wasallam) ke (7) Naam Aayen hain.... Woh ye hain >> (1) Muhammad. (2) Ahmad. (3) Taaha. (4) Yaasin.(5) Al Muzammil. (6) Al Mudassir. (7) Abdullah. (Tafseer Ruhul Bayan,Jild - 9,Safa No - 365) #Azeem
Posted on: Sun, 20 Oct 2013 14:34:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015