Kya aap jante hein? Hasbe zaik aqwal kis ke hein. 1.Hamati - TopicsExpress



          

Kya aap jante hein? Hasbe zaik aqwal kis ke hein. 1.Hamati tehzeeb ghzal mein aur ghazal hamari tehzeeb mein dhali he.( Rasheed Ahmed Siddiqui) 2.Panjab ke musakman sir sayed ke munadi per is terh dorhe jaise piyasa pani per.(Altaf Hussain Hali) 3.Kalam-e Hali mein kalam-e Sadi jaisi mukammal akkasi pai jati he.(Firaq Gorakhpuri) 4.Akber riwaiti hote hue bhi baghi hein aur bagi hote hue bhi islahi.(Rasheed Ahmed) 5.Dono sahib-e kamal hein mager ferq itna he ke Meer sahab ka kalam aah he aur Mirza ka kalam wah he.(Khawaja Basit) 6.Bedi Hamare nafsyati lamhat ke akkas hein. (Dr. Mohammed HASAN) 7.Dunya se jate hue ghazal koFiraq ke zimme kiye ja raha hun. ( Yagana Changaizi) 8. Makhdum ki shairi zyada unki siyasi aur samaji mehsusatka pertu he.( Dr. Ejaz Hussain) 9.Urdu ka hiyola wadiy-e-Sindh mein tayyar hua. ( Sayed Suleman Nadvi) 10.Ager che mein kisi fikr-e sher ki islah nahein diya kerta laikin tumhari nisbat mera khayal he ke ager tum sher na kaho ge to apni tabiyat per sakht zulm karo ge.(Ghalib)
Posted on: Sun, 03 Nov 2013 08:04:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015