MERE AAQA KO NOOR NA MAN NE WALO........... ...Masla Noor o - TopicsExpress



          

MERE AAQA KO NOOR NA MAN NE WALO........... ...Masla Noor o BAshark waqt hume kuch baate zehan mein rakhni chahiye k hum mein or aap mein ikhtalaf kis baat ka hai phir is masle ko sahi tareekey se samjha ja sakta hai. aap or hum is baat par mutafik hain k Huzoor Sallaho Alaih wasalam bahsar hai . lekin hum dono mein ikhataf is baatka hai k hum kehte hai k Huzoor Afzalul Bashar honey k saath saath Noor bhi hai or aap kehte ho k woh noor nahi hain. lekin aap nein jo apne article mein dalail k tor par jo ayat pesh ki hai unpar to hum mutafik hai kiun k hum bhi mante hai k huzoor bashar hai.isliye aap woh apne aqeeday ko sabitkarne k liye Huzoor Sallahao Alaih eWasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo na k bashar honey ki kiun k Huzoor k bashar honey par to hum or aap mein itfaq hai. is liye aap ka farz banta hai k aap apna aqeedah sabit karne k liye Huzoor Sallah Alaih e wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo . or hum Huzoor k noor hone ki daleelpesh karte hai . umeed hai k aap ko yeh tajveez achi lagio hogi. >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>> Sabse pehle Allah ne Apne Noor se .. Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k Noor ko paida kiya ... Hadees Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) ne Huzoorse jab poocha K Allah Taala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya .. Ispar RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ne sabse pehle Apne Noor se ,, Tere nabi ke Noor ko paida farmaya ... !! (Mawahibul Laduniyah Sharif V1 Pg9 ,, Zurqaani Shareef V1 Pg.46 ,, Seerat-e-Halbia V1 Pg37 ,, Anwaarul Muhammadiya Pg9) Hadees Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasllam ne HazratJibrail (AlaihiSalaam) se Farmaya AE Jibrail! 2mahri Uamr Kyai h ... Jibrail (AlaihiSalam) ne Arz kiya Huzuur ! Muje Kuchh Khabar Nai ,, Itna Jaanta Hun Ki Chauthe Hijaab me Ek Noorani Taara ,, 70 Hazaar Baras k Baad Chamakta tha ... Mene uss Taareko 72 Hazaar Martaba Chamakte dekha hai ... Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ne yeh sunkar rarmaya Mere Rab ki Izzat ki Kasam ,, Me hi woh Noorani Taara hun ... !! (Ruhul Bayaan, V1, Pg974) Hadees Me Allah k Noor se hun .. Or Tamam Makhlook mere Noor se h .. Or sabse pehle Allah ne Mere Noor ko Paida kiya ... !! (Tirzimi page 201) Hadees Ek Sahabi ne Arz kiya Apko Nubuwat kab mili ... Huzur ne farmaya Me uss Waqt b Nabi tha ,, Jab Adam Mitti or Rooh k Darmiyan the ..!! (Sahiul Isnaad) Or Allah ne hamare Nabi ko Noorul Bashar banakar bheja ,, Jo unhe Bashar na Maane uska b Iman kharab ... Or jo apni Tarha Bashar Maane uska to Iman hi Khatm ... Haddeso se Sabit karta hu ki Hamare Nabi Noor the . Quran Beshak 2mhari taraf Allah ki tarf se Noor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) aya h ,, Or Roshan Kitab ... !! (surh Maida Para 6 Ayat 15) (Tafseer ibn Abbas Pg.72 Quran Chahte hain ki Allah k Noor ko apni ,, Muh ki Phoonko se Bujha den ,, Lekin Allah apne Noor ko ,, Pura Farma k Rahega .. chahe ye Kafiro ko bura lage ... !! (Surh Toaba ayat 32) Hadees Huzur ne Farmaya Me Adam k paida hone se pehle ,, Rab k Huzur me Noor tha ... !! (Ahkam Ibnal Quhtan ,, (Tafseer Durre Mansoor) Ibne Sabah Farmate hain Huzur Pur Noor k Khais me tha ,, K Aap ka Saya ,, Zameen par na padta tha ... !! (Zurqani ,, Khasais ul Bubra) Hadees Hazrat Ali (RaziAllahu Anho) farmate hain Jab Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) kuch Irshaad farmate ,, To unke Mubarak Daanton k beech me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi ... !! (Mawahibul Laduniyah V1 page 270 ,, Anwaarul Muhammadiya Page132 ,, Zurqaani Shareef) Hadees Me Aulade Aadam me ,, Sabse zyada Mukkarran .. Or Sabse Zyada Muazzam hun ... !! (Tirzimi ,, Abwabul Manaqib) Hazrat Aisha (RaziAllahu Anha) farmati hain Main Andheri raat me i sui (Needle) me dhaage puro leti thi ,, Huzoor k Noor ki Roshni se ... !! (Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz V1 Page 328) Hadees Hazrat Umar RaziAllahu Anhu farmate hain RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Main 2m me se kisi ki tarha nahi hun ... !! (Jaam’e Tirmizi V1 page 97 ,, Sahih Bukhari Vol1 page246) Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) farmate hain Mene Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k jesa ,, Kisi ko na paaya .. Na unke pehle ,, Na unke baad ... !! (Taareekh-e-Kab eer V1 Page8 ,, Khasaais ul Kubra V1 page181 ,, Tirmizi Shareef V2 page.204) Hadees Huzur ne Sahabio ko Raat din k Roze Rakhne se mana Farmaya ... Sahabi ne Arz kiya Ya RasoolAllah aap to Wisal k Roze Rakhtehain ... Huzur ne farmaya Me 2hari tarha (Aam Insan) nahi hun ,, Muje Rizk diya jata h ... !! (Muslim V2 page 774 ,, Bukhari V2 Page 693 ,, Nisai Vol2 page 241) Quran Ae Imanwalo apni Awazein Unchi naklaro,, Uss Gaib batane wale (Nabi) ki Awaz se .. Or unke HUzur baat Chilakar na kaho ,, Jese Aapas me ek 2sre ko Chillate ho .. kahi 2mhare Amaal Akaarat na ho jaye ,, Or 2mhe Khabar na ho ... !! (Para 26 Ruku 13 Ayat 2) Quran me Nabi ko Rehmat kaha gaya .. Quran Humne bheja jo Rahmat (Muhammad) h ,, Zamane k liye ... !! (Surh Ambiya Ayat 107) Hadees Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasallam Irshad karte h jese meri Zindsi 2mhare liye Rehmat ) h ,, wese hi mera Parda farmana b 2mhare liye Rehmat h ,, (musnad Vol 1 page 397 ,, Manaahil Al-Safa Pg 31 Hadees 8 ,, Al ksasis sl Kubra Vol 2 pg 281 ,, Majma al Zawwad ) To isko thoda Tafseel se Samajne ki zarurat hain ..>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> Masla Noor o Bashr. Aqeeqa Ahl e Sunnat Quran o Hadis ke roshni mai issey read kijea aur aaj k is pur fiten door mai apnay aqeday ho deen k choro say mahfooz rakhea. Question..? Kya Sarkar e Azam peace be upon him NOOR hain aur dunia mai libad e Bashri mai tashreef lae hain QURAN o HADIS ke roshni mai jawab…?? Answer.. Islami Aqayed mai yeh baat mojoodhaik Nabi e Kiram Alaihisslam NOOR k paiker hain SARKAR E AZAM Alaihisslam bhi NOOR hain magar is dunia main libas e Bashriyat main ashreef laye hain. Lehaza SARKAR E AZAM Alaihisslamka NOOR hona un ke haqeeqat hai aur bashriyat aap Alaihisslam ke sifat hai isliyea hamai SARKAR E AZAM Alaihisslam ke bashriyat aur Noraniyat dono pereman rakhna zroroi hai. Al Quran. Ayat…: LA QAD JAA’AKUMMENALLA HE NOOR. (Sorah Ma’aeda Ayat 15 Parah 6) Turjuma.. Bai shaq tumhary pas a gaya Allah ke taraf say 1 noor. Tafseer.. Tafseer e Ibne Abbas page no 72… Tafseer e Kabbir page no 396 jild 3… Tafseer e Khazin page no 417 Jild awal, Tafseer e Madarik page no 470 Jild 1..Tafseer e Rooh alma’ani page no 87 Jild 6…Tafseer e Rooh ul bayan page no 548 Jild 1…Tafseer e Durr e Mansoor page no 231 Jild 3….Tafseer Jalalain..Tafse er Ibne e Jareed…Maraj un nabuwat…..aur Mawahib al ludunia tamaam Mu’utabar tafaseer mai mufasreen nay is ayat mai NOOR say SARKAR E AZAM Alaihisslam murad lia hai. Al Quran. Ayat..WA ANZALNAA ELYEKUM NOORAN MUBEENA. Turjuma… Aur hum nay tumhari taraf roshan noorutara. Tafseer. Is ayat mubaraka mai roshan noor sya murad SARKAR E AZAM Alaihisslam ke zaat hai. Al Quran. Chahty haink Allah ka noor apnay muh (mouth) say bujha dain aur Allah na manay ga magar apnay noor ko poora kerna paray bura na manain kafir. Sorah Tobah Ayat no 32 Parah 10. Tafseer. Mufasreen is ayat ke tafseer main likhty hian k is Ayat mai NOOR say murad SARKAR E AZAM Alaihisslam hain,kuffar chahty thy k SARKAR E AZAM Alaihisslam ko (Ma’az Allah) qatal ker diya jae Quran e Majeed ke is ayat mai wazih hai k Allah Ta’ala nay apnay Mahboob Alaihisslam ky qatal per kissi ko qudrat nahe di. In Ayat aur tafaseer say yeh baat sabit ho gae k SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR hain. NOOR E MUSTAFA Alaihisslam AHADEES KE ROSHNI MAIN…. HADIS SHARIF. AWWA LU MA KHALAQALLAHE NOORI. Turjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya tamam makhlooqat say pehly Allah Ta’ala nay meray NOOR ko paida farmaya.. (Ba hawala: Tafseer e Rooh ul bayan….jild 2 page no 191, Madiraj alnabawut jild 2 page 2, Ma’arij al Nabawaut Jild 5 page no 135. Hadis Sharif. ANA MIN NOORILLAHE WALKHALAQU KULLIHUM MIN NOORI. Tarjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslamnay irshad farmaya keh main Allah Ta’ala keh NOOR say hu aur sari makhlooq mery NOOR say hai. (Bahawala = Ma’arij al Nabawaut, Musanaf Shah Abdul Haq Muhaddis e Dehalvi Alerahma) Hadis Sharif. Hazrat Jabir RaddiAllah huta’ala Anho say marvi hai keh SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya ay Jabir! RaddiAllah huta’ala Anho, bai shaq Allah Ta’ala nay sub Ashiya (things) say pehly tery Nabi Alaihisslamka NOOR apnay NOOR (keh faiz) say paida farmaya. (Bahawala= Mawahib eLudonya, Zarqani Sharif Jild 1 page no 42) Hadis Sharf. Hazrat Ibne Abbas RaddiAllah huta’ala Anho bayan kerty hain aik raat main apni Khala Syeda Maimona RaddiAllah huta’ala Anha keh thehr (stay) gaya (Imam Muslimfarmaty hain) is keh baad poora qissa hai. Ta hum is main chehry (face) aur bazo (Arm) dhonay (wash) ka ziker nahe hai bal keh yeh mazkoor hai keh Aap Alaihisslam mashkeezy keh pas tashirf laye is ka muh (Mouth) kholaaur darmiyany drjy ka wazu kiya phr App Alaihisslam bisterper a ker so gaye. Phr dobara baidar hue, mashkeezy k pas aye aur mukamilwazu kiya (Muslim farmatyhain is riwayat main dua k alfaz main) mujy NOOR bana dy, k bajae “mery NOOR maiizafa ker dy” ky alfaz hain. (Bahawala = Muslim Sharif Jild 1 Book Salah w al Musafireen w Qasar ha, Raqam al Hadis1693 Page 596 Matbua Shabeer Brothers Lahore) Faeda (benefit). Huzoor Alaihisslam ka dua farmana kehmery Mola Azzwajal mery NOOR mai izafa ker dy, is baat ke taraf ishara hai keh mery AAQA Alaihisslam NOOR to thyhe is lea to apnay NOOR mai izafa ke dua ke. Aqeeda. Sub say pehly martabah e Nabawut Huzoor Alaihisslam ko mila. Roze Misaaq tamaam Ambia Alaihisslam sya Huzoor Alaihisslam per eman lany aur Huzoor Alaihisslam ke nusrat kerny ka ahad liya gaya aur issi shart per yeh mansab e AZAM Huzoor Alaihisslam ko diya gaya. Huzoor Alaihisslam Nabi ul Ambia hain aur tamaam Ambia Huzoor Alaihisslam ky ummati sub nay apnay apnay ahad e Karim mai Huzoor Alaihisslam ke niyabat mai kam kiya. Allah Azzwajal nay Huzoor Alaihisslam ko apni zaat ka mazhar banaya ur Huzoor Alaihisslam keh NOOR say tamaam alim ko munawar farmayar. ( Bahar e Shariyat, Hissa awal) Aqeeda aik Musalman ka yahe honachahea k SARKAR E AZAM Alaihisslam bazahar bashr hain magar bai misaal bashr bashriyat mai b aap ka koi sani nahe lakin apke Haqeeqat noor he hai. In tamaam Ahadees e Mubaraka say yeh bat sabit hue k SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR ul AALA NOOR hain balkeh Aap Alaihisslam keh noor say he Kayenaat (Whole World) mai NOOR hai. Bashriyat ka falsafa. Al Quran. Turjuma. Aap farmao keh zahri soorat bashri main to mai tum jesa hoon. (Sorah Qahaf, Ayat 110 Parah 15-16) Is Ayat e Karima may SARKAR E AZAM Alaihisslam say Alla Ta’ala nay Bashr kehlwaya yaha lafz e bashr kehna Aap Alaihisslam ke inkesari hai jaisy koi Hakim e WAqat apni riaya say kahay keh mai to ap ka khadim honn. Khadim kehna Hakim e Waqat ke ajizi o inkesari hai kehny say wo khadim hargiz na ho ga SARKAR E AZAM Alaihisslam say Allah Ta’ala nay bashr kehalwaya, khud Rabbe Karim nay basher na kaha. Ba’az mufaseerin nay is ayat ka yahe matlab bayan kiya hai keh kissi insane ko yeh haq hasil nahe hai keh Nabi ko aam insano jaisa bashr kahay Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr samjna Iblis aur kufar ka tareeqa hai. Sub say pehly Nabi ko hiqarat say bashrkehny wala Shaita tha, Hazrat Adam Alaihisslam keh baray mai shaitan nay kaha. Al Quran. Turjuma. Bola mjhy zeba nahe keh mai bashr ko sajda karu. (Sorah Hijrat Ayat 33 Parah 26) Maloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko hiqarat say bashr kenay ka agaz Shaitan say huwa phr is ky chaily kuffar o mushriqeen bhi Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa basher kehty thy. Chunachy Hazrat Nooh , Hazrat Saleh , Hazrat Hood Alaihisslam ke qoom ky kafir nay in say kaha. Al Quran. Turjuma. Tum to hum he jaisy bashr ho. (Sorah Ibraheem , Ayat 10 Parah 13) Hazrat Shoaib Alaihisslam ke qoom kehkafiroo nay kaha. Al Quran. Turjuma. Tum to nahe magar hum jaisy basher. (Sorah Sho’ra’a Ayat 186 Parah 20) In tamaam Ayaat say amloom huwakeh Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr kehna Shaitan auris keh pair o kar kuffar o mushriqeen ka amal hai Mominoo ka tareeqa nahe hai. Question. SARKAR E AZAM Alaihisslam Bashri libaday mai ku tashreef laye…?? Answer. Is ka jawab Barasgeer (subcontinent) keh Muhaddis Muhaqiq Shah Abdul Haq Muhadis e Dehlvi Aleherahma apni Book Madaraj al Nabuwat Jild Awal keh page 109 , 110 per dety hue farmatyhain k SARKAR E AZAM Alaihisslam sar say lai ker Qadam tak saray k saray NOOR he NOOR thy, SARKAR E AZAM Alaihisslam Chand (moon) aursoraj (sun) ke tarha roshan thy agar SARKAR E AZAM Alaihisslam bashriyat ka parda pehnay hue na hoty to kissi ko dekhny ke taqat he na hoti. >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>
Posted on: Thu, 05 Dec 2013 06:31:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015