Main ne dekha hai keh majority log JI sy khaif hain.ziadatar to is - TopicsExpress



          

Main ne dekha hai keh majority log JI sy khaif hain.ziadatar to is ki policies sy hain.Kuch hazrat maulana k literature sy hain aur New generation Islam mai mulk ki baqa nhi samajhti is liay un k mutabik dosri siyasi jamatain sahi hain.Even meri family k aisay log jo vote nhi dalty thy Ku k JI ne boycott kiya ha wo b imran khan sy mutasir hain.Maulana modudi k literature main bohat hi rare kisi bat sy Mera ikhtalaf hua ha jab k log in ko Kabhi munkir e hadith aur Kabhi gustakh e sahaba kehty hain.Jab pocho reference tou kahain gy flan Jumla flan kitab mai Unho ne likha ha.Aksar logon ne maulana ka literature perha hi nhi ha.Khas tor pe jamat k baray mai un ka nazriya.Kehny ka maqsad ye ha k Kisi sahib ne farmaya ha munkir e hadith au kal Jo b hain un ka kisi na Kisi tarha taluq jamat sy raha ha.mujhy jo is bat ki logic samajh ai hai wo Ye hai k Ku k jamat k log baki deeni jamaton ki nisbat miyanarawi ki taraf ziada Mayal hain .kam as kam Dosry masalik k liay un k dil ziada wasih hain is liay baz dafa shetan Ap ko behkany mai kamiyab Ho jata ha.Insan ka dil o demagh wasih hona chahiay laikin ek had tak.Kuch chezon mai Kisi Ek nazriay pe jam jana chahiay.As I have experienced a friends conversion.us ko pehly bukhari ki authencity pe shak hua Jo kuch Shia friends ne dala aur Ku k wo chezon ko accept krti thi so she converted.Flexibility honi chahiay laikin Ek had tak.Main ne Apny Ek uncle sy Jo keh kattar JI k hami thy ko is dafa shahed wali behas pe mazaq uraty dekha.Shaheed wali behas wali video agar Ap logon ne dekhi Ho tou Ap andaza kr sakty hain kaisay Munawar Hasan sahib ki baton ko twist kr k media mai pesh kiya gya aur wo b itny masoom k hypocracy cho k b nhi guzri k koi diplomatic jawab hi dy dain.Koi b aur leader koi b bayan dy kisi ko kuch taklef nhi hoti.Deeni jamaton ko almiya ye ha ab keh deobandi jamaton k leaders aksar khany penay aur ohdon k shoqeen ,JI tou shuru sy hi badnaam,tableeghi jamat ko siyasat sy hi koi sarokar nhi aur tanzem e islami ki tou mujhy samajh hi nhi aati k khilafat kaisay qaim Ho gi.Jamat ki kuch policies sy mujhy b ikhtalaf ha laikin tamaam deeni jamaton mai nazriay k lehaz sy kafi behtar jamaat ha.JI ko chahiay k grass route level sy logon ko Islam ki taraf bulain jaisay ikhwan ka tareqa raha ha aur jamiat aur jamaat mai wo khasosiyat peda karain jo maulana chahty thy.Maulana ki waqt ki pabandi aisi thi k log apni ghariyan thek kr lety thy in k aanay sy.aur waqt ki pabanei jamat k prog mai khal khal hi ha.Nisab Jo saal ka aata ha us k elawa b books perh liya karain aur baynamaziyon ko bilkul jamiyat mai dakhil na hony dain.
Posted on: Fri, 14 Mar 2014 06:11:43 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015