Malala, Christina Lamb, Amar Jaleel aurr Z. A. Bhutto: 14 november - TopicsExpress



          

Malala, Christina Lamb, Amar Jaleel aurr Z. A. Bhutto: 14 november ki subah ye post likhi thi magar Lahore mein mobile fone service achanak off kar di gai to mobile fone par internet bhi istemal karna mumkin nahi raha. 15 november ki raat 12 baje k baad service open ki gai. Aaj (14 november) roznama Dunya mein Anjum Niaz ne malala ki kitab I Am Malala par apne column mein likha hai keh is kitab ki likhari Christina Lamb ko 1000,000 dollars muawza mila hy. Pakistan mein adeebon ka haal: aaj hi k Jang mein progressive writer Hasan Mujtab ne apne column mein bataya hai keh Z.A.Bhutto k daur-e-hakoomat mein Sindhi zaban k mumtaz tareen adeeb Amar Jaleel aur doosre tamam awam-o-insaan dost Sindhi adeebon, shairon aur sahafiyon par intehai bhayanak zulm kiye gaye. jahan tak likhariyon k muawzon ka taalluq hai to Naseem Hijazi, Mustansar Husain Tarar, Umaira Ahmad (Peer-e-Kamil famed digests ki likhari), columnist Javed Chaudhry aur digests hi k chand doosre likhariyon k siwa kisi adeeb ne aaj tak chand hazar se ziada muawza nahi paya. AFSOS HAZAR AFSOS!
Posted on: Sat, 16 Nov 2013 05:21:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015