Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se - TopicsExpress



          

Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi; Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi; Hamein Jaan Deni Hai Ek Din, Wo Kisi Tarah Wo Kahein Sahi; Hamein Aap Khinchein Daar Per, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi; Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashar Ho, Hamein Intizaar Qabool Hai; Wo Kabi Mile, Wo Kahin Mile, Wo Kabi Sahi, Wo Kahin Sahi; Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi, K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi; Mai Unhi Ka Tha, Mai Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi; Jo Ho Faisla Wo Sunaye, Use Hashar Per Na Uthaye; Jo Kareinge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi; Useh Dekhne Ki Jo Loo Lagi, To NASEER Dekh Hi Leinge Hum; Wo Hazar Aankh Se Door Ho, Wo Hazar Parda- Nasheen Sahi! Translation: Firaaq: Sepration Nigah-E-Shoq: Eager Glance Rag-E-Jaan: A Jugular Vein Sar-E-Toor: Mount ~ Mohsin Ja
Posted on: Sat, 26 Oct 2013 10:55:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015