Meri Zindagi To Firaaq Hai Poet: Syed Naseer-Uddin - TopicsExpress



          

Meri Zindagi To Firaaq Hai Poet: Syed Naseer-Uddin Naseer Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi . Hamain Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi Hamain Aap Khainchiye Daar Par, Jo Nahin Koi To Hameen Sahi. Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho, Hamain Intezaar Qabool Hai Wo Kabhi Milen,Wo Kahin Milen,Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi. Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin, Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hun, Wo Mere Nahin, To Nahin Sahi. Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay, Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay Teri Anjuman Men Agar Nahin, Teri Anjuman Ke Qareen Sahi. Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka, Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai, Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi. Meri Zindagi Ka Naseeb Hai, Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai, Wo Agar Nahin To Naheen Sahi. Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye, Use Hashr Par Na Uthaaiye Jo Karainge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yaheen Sahi. Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi, To Naseer Dekh Hi Lainge Hum Wo Hazaar Aankh Se Door Hon, Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi.
Posted on: Sat, 02 Nov 2013 07:48:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015