Moharram Hiqayat/Wakiya . Part : 12. DAST E KARBALA . Hazrat - TopicsExpress



          

Moharram Hiqayat/Wakiya . Part : 12. DAST E KARBALA . Hazrat Imaam Hussain Razii Taala Anhu ko kufa ki rawangi ki khabar paak ibne jyaad ne hurr inbe rubahi ki kyadat me ek lashkar aage bhej diya tha. Hurr ibne rubahi marde saeed ne Hazrat Imaam Hussain Razii Allahu Taala Anhu ko mashwara diya ki wah masturat ka bahana farmakar raat ko alhada utre aur raat hi ko kahi tasrif le jaaye. Chunanche Hazrat Imaam Razii Allahu Taala Anhu ne yahi kiya. Raat ko jab yazeedi lashkar so gaya toh aapne waha se kutch kiya. Andheri raat me malum na hua ki kidher ja rahe hai. Subah ko ek maidaan houlnaak me pahunche yaha utre toh iss maidan me jis jagah mekh gaadte zamin se khoon nikalta. Jis darakht se lakdiya todte khoon tapakta. Yeh haal dekhkar Imaam ne pucha ki tumme se kisi ko iss dast (jangal) ka naam malum hai. Ek ne kaha ki ise maarya kehte hai. . Farmaya shayad koi dushra naam bhi ho. Logo ne kaha ki ise KARBALA bhi kehte hai. Yeh sunkar aapne . farmayaZamin karbala yahi hai hamare khoon ki bahne ki jagah yahi hai ab hum yaha se kahi nahi ja sakte. . Dushman yaha pe khoon hamara bahayenge Zinda yaha se hum na kabhi fir k jaayenge Aale Nabi ka hoga isi jaa pe khatma Sab tisna lab yaha pe sar apna katayenge Karbala naam hai issi sarzami ka Bacche yaha pe paani ka katra na paayenge Hoga har ek sahid yaha mustafa ka laal aur laash,katlgaah se hum sab ki laayenge . Ali Akbar Razii Allahu Taala Anhu ne arz kiya Abbajaan! Aap kya farma rahe hai? Farmaya beta dadajaan Ali murtaza siffin jaate huye yaha tehre aur bade bhai Hasan Razii Allahu Taala Anhu k jaanu par seer rakh k soye. Main sarhane khada tha ki rote huye uthe. . Bade bhai ne rone ka sabab pucha toh farmaya maine abhi abhi khawab me Hussain ko dariya e khoon me dubta hua paav maarta hua aur faryad karta hua dekha hai magar koi uski faryad nahi sunta. Phir mujhse farmaya beta jab tujhe iss jagah waakia azeem darpesh hoga toh tu us waqt kya karega?? Mene arz kiya ki me shabr karunga. Iss par farmaya beta aisa hi karna ki shabr karne walo ka sawab beshumar hai . yeh farmakar aapne asbaab utarwakar aur nahre furat k paas khema nasb farmaya. Us din moharram ki 2 taarikh thi aur hizri ka 60wa (Tazkira Safa-61) . Sabak : Dast e Karbala azl hi se Hazrat Imaam Hussain Razii Allahu Taala Anhu k liye imtehaangah mukarar ho chuka tha. Hazrat ko khud bhi apne iss imtehaan dene ka ilm tha. Aur yeh aap hi ki shaan aur aap hi ka hissa hai ki iss jabardast imtehaan k liye aap har tarah se taiyaar the. Aapne paaye istekbaal aur azm wa sibaat me zarra barabar bhi lagjins na aane di. Yaani aap apne pakke irade se nahi dagmagate.
Posted on: Tue, 12 Nov 2013 17:27:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015