Muharram ke rozon ki fazeelat Yun to is maah me ki jane wali har - TopicsExpress



          

Muharram ke rozon ki fazeelat Yun to is maah me ki jane wali har ibadat qabil e qadr aur baais e ajr hai magar ahadees mubarakah mein muharram ke rozon ki khususi targeeb di gayi hai chunache Hazrat Muhammad (S.A.W) irshad farmate hain:: Ramazan ke rozon ke baad sabse behtreen roze Allah ke mahina Muharram ke roze hain..(muslim jild 1, safha 368, baab fazl saumul muharram). Hazrat ibne Abbas (rz) se riwayat hai:: Jo muharram ke ek din ka roza rakhe usko ek mahine ke rozon ka sawab milega..(gunniyatutaalibeen lil sheikh jilani, safha 314, majlis fi fazail yaum e ashoora) Phir is maah ke tamaam ayyam me se Allah Rabbul izzat ne yaume ashoora ko ek mumtaz maqaam ataa farmaya hai. Yeh din bahot se fazail ka hamil aur nekiyon ke husool ka behtreen zaria hai. Irshad e Nabawi a.s hai:: Jo shakhs ashoora ke din roza rakhta hai to Allah taala uske guzishta saal ke (sageerah) gunaah muaaf farma dete hain..(sahih muslim jild 1, safha 367, baab istehbaabussiyaam salaasata ayyamul akh). Ek dusri riwayat me Hazrat Abdullaah bin Abbas (rz) ka ye farman hai:: Huzoor Aqdas (s.a.w) ramazanul mubarak ke mahina aur das(10) muharram ke din roza rakhne ka ehtmaam farmaya karte the..(Sahi bukhari jild 1, safha 268, baab siyaam yaume ashoora). (Note:- Ahle imaan ko yahood ki mukhalfat ka hukm diya gaya hai aur is daswi muharram ka roza chunki yahood bhi rakhte hain isliye ab hamare liye hukm ye hai ke daswi(10th) tareekh ke sath nauwi(9th) ya gyarahwi(11th) tareekh ka roza bhi rakhen taaki sunnat bhi adaa ho jaaye aur mukhalfate yahood ka pehlu bhi nikal aaye jaisa ke Hazrat Abdullaah bin Abbas(rz) ki riwayat mein hai: Rasoolullaah (s.a.w) ne farmaya tum Ashoora ka roza rakho aur yahood ki mukhalfat karo aur us se ek din pehle ya baad ka roza bhi rakho....(Musnad Ahmad jild 1, safha 241, hadees no.2154).
Posted on: Sat, 09 Nov 2013 18:27:08 +0000

Trending Topics




© 2015