**Mujhe Nafrat Hai - TopicsExpress



          

**Mujhe Nafrat Hai Muhabbat se..** Episode # 16 Zindagi bhi kese rang badalti hai kahin hasti to kahin roti hai yaroo iss hi ka naam to zindagi hai Kia samjhe? Nafrat aur muhabbt ki iss dastan ko samjhe ya nahi , agasr han to kese agar nahi to q? batao,,,, magar aap ko kesa laga ab tak ka safar plz tell me, what are u thinking about This story? Tell me!.. in comeent Box . (Maria ar Ali university mein class k bench par beithe batt kar rahe hote hain) Maria: wese Kia lagta hai Maheen ka itna Nawaz k paas jana theek hai kiya? ALi: are hamari bato mein yeh Maheen aur Nawaz kahan se aagaye? Maria: mera matlab tha k kal sari raat Maheen akaili Nawaz k sath uss k ghar rahi, Ali: tum bhi na, iss ka matlab ab tum hamare milne par bhi shak karti ho gi. Maria: nahi, hamari to aur baat hai. (itne mein wahan par Firdous aa jati hai) Firdous : Q g , tumhari baat q alag hai, kia majra hai? Maria: wo dar-asal ham ne ............... Ali: ( baat katte howe) hamri baat , tum ko q batayen. Firdous: na batao, wese bhi mujh ko kabab mein haddi banne ka shoq nahi hai.. (Firdous wahan se jane lagti hai) Maria: rukko, Ali bhi na kuch bhi kehta hai, uss ki baat ka burra mat mana karo, Ali: han g, abi se shuro kar lo hamari burai, shadi k bad pata nahi kiya hoga. Firdous: Shadi? kiss ki? Maria: hamari manghni hai kal .. Firdous: wah g wah! invite bhi nahi kiya, marzi hai Ali: ab to kar liya na, kal sham 7 baje mangni hai , lazmi aana ok. ( Itne mein wahan par Maheen ati hai) Maria: Assalam-o-alaikum! maheen kia haal hai , ab Nawaz ki tabiyat keisi hai? MAhenn: (apne khiyalo mein khoi howi hoti hai iss liye wo Maria ki bato ko nahi sunnti) Firdous: O hello! kahan khoye ho? Maheen: kiya howa? ( sab hanste hain) Ali: abhi to yak tarfa muhabbat hai, jab 2-tarfa ho gi to na jane kiya ho ga.. (Maheen khamosh rehti hai) Maria: to aao gi na maheen! Maheen: kahan? Ali: Yaar, kal meri aur Maria ki mangni hai, aao gi na, Maheen: ( Banawatti hansi banate howe) Mubarik par Sorry , main nahi aa paaon gi Maria: lekin Q? Maheen: Mujhe dair ho rahi ahi main chalti hoon Ali: agar tum aao gi to hum ko acha lage ga, (wahan se Maheen challi jati hai aur baqi wahi par khare bate karte rehte hain.) ;;;;;;;; DOOSRI TARAF;;;;;;;;; (maheen class mein beithi nawaz ka intazar karti rehti hai par Nawaz nahi aata ,. Itne mein wahan par Maria aati hai) Maria: kia howa Maheen? tum itni upset q ho? Maheen:kuch nahi Maria:( Maheen k paas beith jati hai) kuch to baat zaroor hai, daikh rahi hoon k jab se tum Nawaz k ghar se aai ho tab se upset ho Maheen:(maheen sab kuch maria ko bata deti hai) bas yeh baat hai, Maria: yeh to bohat bura howa, magar ab tumhara kia faisla hai Maheen: main ne soch liya hai k ab main Nawaz ki berang zindagi mein rang bharna hai MAria:lekin , kia tum aaisa kar paao gi? Maheen: hani maloom., magar par dil chahe jo bhi kahe , ab mujhe apni nahi parwah kuch bhi, mujhe sirf Nawaz k bare mein sochna hai, Maria:jo bhi karo magar soch samjh kar karna Maheen: (han mein sir hilati hai aur Maria wahan se chali jati hai) mgar kia karoon, kuch samjh nahi aa raha, , ================================================================================================================ Sun kar Nawaz ki baate Udaas hai ab Maheen kiya Nawaaz ki be-rang zindagi main rang bhar paye gi Maheen janiye Muhabbat ki is Dastan k agle episode nein Sirf ::: Urdu Serious Stories ::: par ==================================================================================================== **Mujhe Nafrat Hai Muhabbat se..** Episode # 17 Mujhe Dard-e-ishq ki saza maloom hai Dar-e-dil ki intihaa maloom hai Zindagi bhar muskarane ki dua na dena Mujhe pal bhar muskarane ki saza maloom hai ( Firdous Rashid , mangni mein aate hain to Ali aur Maria un ka istaqbal karte hain) ALi: Thanks a lot, hamari khushiyon mein shamil hone k liye Maria: Maheen aur Nawaz nahi aaye, Rashid: Maheen ka to pata nahi but Nawaz to kabhi nahi aaye ga Ali: wese achi baat hai, NAwaz nahi aaya , warna to yeh yaqreeb bhi udaas si lagti (Sab hansne lag jate hain) (itne mein wahan par Maheen aa jati hai,wo aa kar poochti hai) Maheen: kis baat par hans rahe ho, wo bhi hamare binna Ali: Nawaz k khiyalo se bhi bahir ki dunya mein aakhir qadam rakh hi liya Maria: Ali ab tum chup karo, ( Maheen ki tarf matwajja hote howe) thank u aane k liye Maheen: aaisa kese ho sakta hai k tum bulao aur main na aaonon, maria: good Ali: ab yahin par baat hogi ya iss ceremonay ko bhi enjoy karo ge dostto, (Ali sab k samne jaa kar dance karna start karta hai iss song par) taaq te rehte tujh ko sanjh sawere naino meieeeen hayee , naino meeeeeeein hayeeaeeee taq pe rehte tujh ko sanjh saare naino mein basiyan jese nain yeh tere naino main basiyan jese nain yeh tere tere mast mast do nain mere dil ka le gaye chain mere dil ka le gaye chain, tere mast mast do nain tere mast mast do nain mere dil ka le gaye chain mere dil ka le gaye chain, tere mast mast do nain (Maheen apne khiyal mein Nawaz ko deikh kar uss k sath kuch step iss line k karti hai) pehle pehaal tujhe daikha to dil mera dharka haye dharka ,,dharka haye jal jal utha hoon main,shola jo piyar ka, bharka haye bharka,, bharka hayee neendo mein ghul gaye hain sapne jo tere badle se lag rahe hain andaaz mere badle se lag rahe hain andaz mere tere mast mast 2 nain , mere dil ka le gaye chain mere dil ka le gaye chain, tere mast mast 2 nain tujh se shooro howi, tujh pe hi khatm ho, dunya meri dunya, dunyaa meri yeh baat dil mein thi, naino ne bol di main hoon teri, main hoon, main hoooon teri tujh ko hi yaad kar k aanhe bharoo main mil k bhi mil na paaon , ab kia karoon main mil k bhi mil na paaon, ab kia karoon main (Yahan par Maria uss ko aa kar hath laga kar hilati hai aur uss ko bhi dance karne ko kehti hai, magar wo inkaar kar deti hai) tere mast mast do nain mere dil ka le gaye chain, mere dil ka le gaye chain tere mast mast do nain tere mast mast do-nain mere dil ka le gaye chain mere dil ka le gaye chain, tere mast mast do-nain (Song k aakhir mein Maheen ko aisa lagta hai jese uss ne Neelam ko deika hai, magar kafi rash hone ki waja se wo sahi tor par deikh nahi paati but wo deikhne ki koshish karti hai) (Itne mein Ali Maheen k paas aata hai ) Ali: tum yahan par ho , sab k sath khare ho na, MAheen: acha Ali: acha nahi , chalo,( hath pakar kar uss ko aik larki k samne le jata hai par uss ki peeth hoti hai) Ali: yeh meri hone wali bhabhi hai, Maheen: tumhari bhabhi??? Ali: yaar hone wali hai, .( apni bhabhi ki taraf matwajja hote howe) bhabhi, idhar dekhiye ( jese hi wo larki Ali ki taraf matwajja hoti hai to Maheen yeh deikh kar heran ho jati hai k wo Neelam hai) ALi: Bhabhi, iss se miliye , yeh hai MAheen, meri aur Maria ki class fellow,. Neelam: Assalam-o-alaikum! maheen, tum se mil kar khushi howi. Maheen: wo harani se uss k chehre ko deikhti rehti hai, aur) Wa-alaikum-asalam, Im Maheen, Nawaz ki cousin Neelam: (thori si bokhala jati hai magar apne aap ko sabhalte howe) kon Nawaz? Ali: ( baat katte howe ,) maheen tum kon si bato ko le kar baith gai hai, bhala yeh kese NAwaz ko jane gi. Maheen: wo in se hi pooch lo na! Neelam: main nahi janti k tum kia keh rahi ho, main ne yeh naam to pehli baar sunna hai. (itne mein wahan par Ali ki mom aa jati ahi aur kehti hai k chalo ab time ho giya hai.. angothi nahi pehnani kia maria ko tum ne ali?) (Maheen poore waqt Neelam ko deikhti rehti hai, but achanak se Neelam kahin chali jati hai Maheen uss ko dhoondti hai magar wo nahi milti) =========================================================================================== Maheen aur Neelam ka ho giya hai aamna samna kiya hoga Nawaz ki qismath ka faisala?? janiye Muhabbat ki is Dastan k agle episode nein Sirf ::: Urdu Serious Stories ::: par ==================================================================================================== **Mujhe Nafrat Hai Muhabbat se..** Episode # 18 Ab k hum bichre to shayed khawabo mein mille jiss tarha sookhe howe phool kitabo meil mille ( Raat ko MAheen apne bed par leit kar Neelam k bare mein hi sochti rehti hai k aakhir kahan gai thi Neelam? aur q us ne Nawaz ko pehchane se inkaar kar diya tha. ) ( Agle din Maheen university mein ja kar Ali ko dhoondti hai magar Ali us din un bhi nahi aata aur nahi hi Maria, , maheen wahan se Ali k ghar jate hain wahan par Ali to nahi hota magar uss ka bara Waqas bhai hota hai , ) Waqas: g, aap kon? Maheen: main Ali ki class fellow hoon, kia Ali hai? Waqas: Sorry, aaj wo apni bhabhi k ghar giya howa hai,, andar aaiye ( Maheen andar chali jati hai aur ja kar sofe par beith jati hai ) Waqas: koi kaam tha Ali se , aap ko? Maheen: kaam g, Waqas: ( time deikhte howe) bas ab to aane wala hi hai , subh k giya howa hai , aap beith kar intazar ki jiye , Mein abhi aata haoon (Waqas abhi uth kar jane hi lagta hai to Maheen peeche se kehti hai) Maheen: Kiya aap hi Neelam k mangaiter hain? Waqas: g, main hi hoon, q kia howa? Maheen: dar-asal mujhe Neelam k bare mein hi aap se baat karni thi, Ali se. Waqas: ( wapis beith jata hai ) Neelam k bare mein ,, magar kiya? Maheen: Aap Neelam ko kab se jante hain? Waqas: Aap yeh sawal q pooch rahi hain? Maheen: q k uss baat ka iss se bohat taluq hai. Waqas: kis baat ka? Maheen: mujhe samjh nahi aa rahi k mujhe aap ko batana chahiye bhi ya nahi Waqas: aap jo baat kehna chahti ho saaf saaf kahiye, Maheen:aap kiya Neelam k mazi ko jante hain, Waqas: aap iss tarha ki bate q kar rahi hain ( Maheen ko kuch samjh nahi aata aur wo wahan se khari ho jati hai) Maheen: kuch nahi Sorry, main ab chalti hoon Waqas: (peeche se awaz dete howe) baat to suniye!! ( magar Maheen wahan se ja chukki hoti hai, Waqas uss k peeche jata hai darwazw tak ) Waqs: ajeeb larki hai , magar kiya baat karni thi uss ne Neelam k bare mein) ( Wahan se Maheen Seedha Nawaz k ghar jati hai , darwaza khula hota hai iss liye direct andar chali jati hai,wahan ja kar deikhti hai k Nawaz bed k sath farsh par Neelam ki pic ko seene se laga kar soya howa hai, Maheen paas rakhe album se Nawaz aur Neelam ki aik pic leti hai aur wahan se chali jati hai,) ( aik din baad Maheen k darwaze par dastak hoti hai , Maheen ki mom darwaza kholti hai, wahan par Waqas hota hai) Maheens mother: g aap kon ? kiss se milna hai aap ko? Waqas: Assalam-o-alaikum Anti! Maheen hai? Maheens mother: Wa-Alaikum-Assalam beta, g hain , aandar aao ( Waqas andar aa kar sofe par beith jata hai maheen ki mom kehti hai k main abhi Maheen ko bulati hoon, itne mein Maheen aa jati hai) Maheen: Aap yahan, khairiyat Waqas: g bas yaha se gusar raha tha , iss liye Maheens mother: Maheen iss tarha karo k apne kamre mein ja kar baat kar lo, main tumhare ;liye abhi cold drink lati hoon (Maheen waqas ko apne amre mein le jati hai) Waqas: jab se tum aai thi, mujhe aik be-chaini si lagi thi, Ali se tumhara ghar ka pata liya, Maheen: koi baat nahi , aaiye aap bethiye Waqs: plz aap batayiye , kiya aap batane lagi thi Neelam k bare mein. Maheen: wo, main main kuch nahi, Waqas: idhar deikhiye, aap ko sach batana hoga, Maheen: aap khud ja kar neelam se pooch li jiye.. Waqas: mujhe aap se janna hai. Kia baat batana chahti hain aap mujhe , batayiye.. plz tell., =========================================================== Kia Maheen Waqas ko sachai bata paye gi? aur kiya Waqas Maheen ki bato par yaqeen kar le ga? Aakhir kis tarha bhare gi rang Maheen Nawaz ki be-rang zindagi mein? janiye Muhabbat ki is Dastan k agle episode nein Sirf ::: Urdu Serious Stories ::: par ==================================================================================================== **Mujhe Nafrat Hai Muhabbat se..** Episode # 19 Ab tak k safar mein aap ne parha k Waqas Maheen k paas aa kar poochta hai k wo kiya batana chahti hai us ko Neelam k bare mein? Kiya Neelam k bare mein Waqas ko kuch bata paye gi Maheen? Kiya Neelam aur Nawaz ka kabhi aamna samna ho ga? Kia mazi ki muhabbat un ko aik kare gi ya Nafrat ki diwar sab kuch bhula de gi, .. janane k liye parhate rahiye Muhabat ki iss dastan ko, Aur ab aage! Maheen: kia matlab ! tum aur Neelam kia aik doosre ko nahi jante kiya? Waqas: sach toyeh hai k Main yeh shadi sirf aur sirf ghar walo ki wajjah se kar raha hoon! Maheen: kia tum Neelam ko nahi chahte, Waqas: han yeh sach hai,, plz ab to batao, kia janti ho tum Neelam k bare mein? Maheen:neelam k kia tum pehle mangaiter ko bhi nahi jante kiya? Waqas: ( bokhla kar) kia matlab? mangaiter? Maheen: han! Neelam ne pehle bhi kissi aur se mangni ki thi aur kissi ko muhabbat k jaal mein phansa kar beech rah mein chor gai thi.. Waqas: tum mazaq to nahi kar rahi, Maheen: yaqen nahi aa raha tum ko, ( chair se pic utha kar waqas ko dikhati hai) yeh deikho Waqas: (pic ko deikh kar heran reh jata hai) Neelam ne meire sath aaisa q kiya? Maheen: Nawaz bhi yeh hi kehta hai, aakhir q kiya uss ne? Waqas: Nawaz kon? Maheen: jis ko tum pic mein deikh rahe ho, ( itne mein wahan par maheen ki mom cold drink lati hai) Maheens mother: yeh lo beta, Maheen : mom mujhe keh awaz de leti, Maheens mother: kuch nahi hota , yeh lo, ab main chalti hoon Waqas:(maheen ki mom k jane k baad) Kon hai yeh! Maheen: Mera cousin hai, Nawaz, bohat muhabbat ki thi us ne Neelam se magar shayed wo shayed uss ki muhabbat k laiq nah thi, magar wo aaj bhi uss ka intazar kar raha hai Waqas: bas karo ( wahan se chalta hai) Maheen: meri baat to sunnoo! ( magar Waqas koi baat nahi sunta, aur maheen wahin aanso bahan start kar deti hai) ::;;DOOSRI TARAF;;;;;; (Waqas Ali se Nawaz k ghar ka address leta hai aur Neelam k phone kar k appne ghar bulata hai,) NEelam: kia howa Waqas! koi khas baat thi, Waqas: tumhare liye aik surprize hai , Neelam: waoo! kahan? Waqas: yaha nahi , iss k liye tum ko mere sath chalna hoga, ( Waqas, Neelam ko le kar Nawaz k flat par pohachta hai , Maheenyeh deikh kar thori si ghabra jati hai ) Neelam: yeh kahan le aaye mujhe tum! Waqas: arre tum ko kisi se milana tha, Neelam: mujhe kissi se nahi milna , chalo yaha se. Waqas: ( darwaze par bell deta hai, magar Neelam apne chehra peeche ki taraf kar leti hai) idhar kro apna chehra ( Nawaz darwaza kholta hai) Nawaz: g aap kon? Waqas: g main Ali ka barra bhai hoon, ( Neelam yeh awaz sun kar pehchaan leti hai k yeh Nawaz ki hai) NEelam:( hath se Waqas ko jane ka ishare kar k aage barne lagti hai) Waqas:( hath se uss ko pakar kar aahista se kehta hai) aaram se rukko, kaha na main ne Nawaz: aap bahir q khare hain aandar aayiye! Waqas: g zaroor ( Nawaz apna chehra andar ki taraf kar leta hai to Neelam apna chehra darte darte aage ki taraf karti hai) NAwaz: (Sofe tak pohach kar ) g baithiye ( yeh keh kar wo apna chehra jese hi aage karta hai to uss ko neelam nazar aati hai hai) Waqasthank u. (Neelam aur Nawaz hairat se aik doosre ko deikhte hai magar Nawaz ki aankho mein aanso aur muhabbat hoti hai aur Neelam ki aankho mein sirf be-rukhi) ======================================================================================================= waqat ne badle phir se panne Samne aa gaye mazi k lamhe kia hone ko hai ab aage? kiya bikhar jayen ge phir se Nawaz k aashiyane? :janiye Muhabbat ki is Dastan k agle episode nein Sirf ::: Urdu Serious Stories ::: par aap ki suggestion ka hum ko intaazar rahe ga ==================================================================================================== **Mujhe Nafrat Hai Muhabbat se..** Episode # 20 Mere HAmsafar teri Nazar hain mere jazba dil ki tamam shidate mere khawab , meri basarte Meri dharkanein, meri chahatein Mere roz-o-shab k nikaq mein mere paas apna to kuch nahi tera qarz hai meri zindagi Meri sansain, teri amanatein,,,,,,,,,,...!!!! Waqas: Aap to beithiye na, aur tum bhi beitho na Neelam. Neelam: g , ( har-barate howe) chalo chalte hai Waqas: aab aaye hai to thori deir to beith jaao ( Neealam beith jati hai) Waqas: : Nwaz tum to beitho na, yeh meri mangaier hai Neelam (YEh sun kar Nawaz ki aankho se aansoo nikal aate hain, wo inn ko zabt karne ki koshish karta hai, par kar nahi paata) Waqas: yeh aap ki aankho se aansoo,kiya howa Nawaz: ( apne aansoo saaf karte howe) yeh khuch nahi, aap bataiye kese aana howe. Waqas: aap Ali ki sagai mein nahi aaye , bas iss liye poochne aa giya aap ko, Nawz: aaisi koi baat nahi ( itne mein wahan par Maheen aa jati hai to wo yeh deikh kar heraan ho jati hai Neelam ko wahan deikh kar) Maheen: aap dono yahan? Waqas: Maheen, tum yahan kese, Maheen: (Nawaz ki taraf deikhti hai to us ki aankhe bhi num ho jati hain, wo foran Nawaz ki taraf barh kar ) Nwaz tum ko aaram ki zaroorat hai, chalo yahan se , Nawaz: nahi ( ab apne hosh khote howe , Neelam ki taraf barhta hai aur ja kar us se poochta hai) aakhir q kiya tum ne mere sath aaise? Neela:m ( hichkichate howe) yeh kiya keh rahe ho? NAwaz:
Posted on: Fri, 29 Nov 2013 10:35:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015