Mumkin hai chasm-e-Numm ko sitara na kar sako Mumkin hai tum b koi - TopicsExpress



          

Mumkin hai chasm-e-Numm ko sitara na kar sako Mumkin hai tum b koi ishara na kar sako Mumkin hai zeher de kar ada kar do zindagi Mumkin hai ye karam b dobara na kar sako Mumkin hai mera hukum b tum ko qabool ho Mumkin hai iltija b gawara na kar sako Mumkin hai do qadam pe badal jao rasta Mumkin hai umr bhar b kinara na kar sako Mumkin hai meray bagair bhee bita lo zindagi Mumkin hai apnay saath bhee guzara na kar sako Mumkin hai chashm-e-Numm teri tera gharoor ho Mumkin hai k ye aag pani se dur ho Mumkin hai saraiyat karay ye zeher ragon main Mumkin hai zeher ka asar dur dur ho Mumkin hai k mumkin na ho yun mera palatna Mumkin hai iztairab main bhee kuch suroor ho Mumkin hai aa b jao tum meray khayal main Mumkin hai dur dur ho, dur dur ho
Posted on: Wed, 21 Aug 2013 18:25:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015