Musalman aaj maghlub kyu ho rahe hain Al Quran : Jin logo ne ( - TopicsExpress



          

Musalman aaj maghlub kyu ho rahe hain Al Quran : Jin logo ne ( Allah ki raah mein) watan chorha aur apne gharo se nikale gaye aur meri raah mein sataye gaye aur jung ki aur qatl kar diye gaye main unke gunah dur karunga aur unhe jannato mein dakhil karunga jinke neeche nahrein bah rahi hain ye Allah ke pass badla hai aur Allah ke pass sabse achcha badla hai Surah Aal-e-Imran, (3), Verse #195 Al Quran : Aur jo log imaan laye aur apne ghar chodhe aur Allah ki raah mein jung ki aur jin logo ne unhe jagah di aur unki madad ki wo sachche musalmnan hain unke liye bakhshish aur ezzat ki rozi hai Al Quran, Surah Al-Anfal (8) #74 Al Quran : Kya tumne hajiyo ko pani pilana aur masjid Al-haram ko aabad karna unke barabar jaisa khayal kar liya hai jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte hai aur Allah ki raah mein ladte hai , ye log Allah ke nazdeek barabar nahi hai , aur Allah zalim logon ko hidayat nahi deta jo log imaan laye aur watan chorh gaye aur Allah ki raah mein maal aur jaan se jihad karte rahe , Allah ke wahan unke darje bahut bade hain aur wo hi log murad ko pahuchne wale hain unhe unka RAB apni taraf se meharbani aur razamandi aur baagon ki khushkhabri deta hai jinmein unhe hamesha aaram milega ( aur wo) unmein hamesha rahenge beshak Allah ke waha bada sawab hai Al Quran , At-Taubah (9), Verse 19-22 Al Quran : Tum par Jihad farz kiya gaya hai aur wo tumhe nagawar hain , mumkin hai ki tum kisi cheez ko nagawar samjho aur wo tumhare liye bhali ho aur mumkin hai ki tum kisi cheez ko pasand karo aur wo tumhare liye buri ho aur Allah hi janta hai aur tum nahi jante Al Quran ,Surah Al-Baqara (2), # 216 Hadith: Umar bin khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shaksh ALLAH ki raah mein ladney wale ko saman faraham karey , yahan tak ki wo rawana ho jaye to us saman faraham karwane wale ko bhi Mujahid ke barabar tab tak Ajar milta rahega jab tak ki mujahid is duniya se chala na jaye ya wapas na laut aaye Sunan ibn Majah, Vol 2, 915 - Sahih Hadith: Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannat mein 100 darjey hain jo Allah taala ne apney raastey mein jihad karney walon ke liye tayyar kiye hain unkey do darjon mein itna fasla hai jitna aasman aur zameen mein hai isliye jab Allah taaala se mangna ho to firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai. Sahih Bukhari, Vol 4,2790 Hadith: Abdullah ibn Umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab tum log jihad chodh doge to Allah subhanahu tum par zillat taari kar dega aur usko tab tak dur nahi karega jab tak ki tum apne deen ki taraf wapas laut kar na aa jao Sunan Abu Dawud, Vol 3, 67-Sahih Hadith:Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo is haal mein mar gaya ki na usney jihad kiya aur na hi uskey Dil mein ( dushmano ke khilaf) jazba-e-Jihad paida hua to wo ek tarah ke Nifaq se mara ( Yani ek tarah se munafiq ki tarah mara ) Sunan Abu Dawud, Vol 2, 730 ( Sahih) Hadith: Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Mushrikon se jihad karo apne MAAL se aur apni JAAN se aur apni ZUBAN se Sunan Abu Dawud, Vol 2, 732 - Sahih Hadith:Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Allah ki raah mein ( Jihad mein) nikla Allah Subhanahu uska zamin ho gaya (Allah farmata hai) uski meri zaat par yakeen aur mere paighambaro ki tasdeek ne ghar se nikala hai ya to main usko wapas karunga ganimat ke maal ke saath ya jannat mein dakhil kar dunga . Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Agar main apni ummat par dushwar na samajhta to lashkar ka saath na chorhta aur meri khwahish hai ki Main Allah subhanahu ki raah mein maara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu Sahih Bukhari, Vol1, 36 Hadith:Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya us Zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai meri aarzoo hai ki main Allah taala ke raastey mein Jung karu aur Qatl kiya jauu, Phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu, phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu., phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu. Sahih Bukhari, Vol8, 7227
Posted on: Mon, 01 Dec 2014 06:47:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015