NAMAAZ...MUSAFIR...BUS... CAR.....k - TopicsExpress



          

NAMAAZ...MUSAFIR...BUS... CAR.....k masaail... ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔹agar bus ya car se travellig kar rahe hai or use rok kar namaaz padhna possible hai ... Authority...hai to rok kar padhe...or... agar state transport ya private transport ki bus se safar kar raha hai or use rokna apne ikhtiyaar me nahi to bus jahan thehre wahan utar kar namaaz padhle 🔹or agar bus k theherne k intizaar me namaaz ka waqt nikal jaane ka imkaan...dar...hai to chalti hui bus me hi namaaz padhle 🔹agar bus me bhiid na hone ki wajah se jaga hai k khade ho kar padhe.....or mumkin nahi to beth kar ruku sajde kar k namaaz padh sakta hai..to isi trah padhle 🔹or agar bus me bhiid hai or apni seat se khada na ho...ya hil nahi sakta hai to apni seat par baithe huwe ishaare se padhle or badme us namaaz ka eaadah zurur kare...yani firse padhe 🔹uupar bataye hue haalaat aajaye...to agar wuzu hai to behtar or... agar wuzu nahi to tayammum kar le...tayammum k liye bus ki body par jo dhuul ki teh chadhi ho usi se kiya jaa sakta hai.. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ MUSAAFIR..ki...NAMAAZ... kuch aur masaail... ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔻Awrat... 🔻Nokar... 🔻Beta... 🔻Shaagird 🔹awrat ko bagair shohar k 3 din ki...matlab 92.54 k.m. Ya zyada ki duuri jana jaaiz nahi...bl k aik din ki duuri ki bhi ijaazat nahi 🔹naabaaligh bachcha ya nim paagal k sath bhi safar nahi kar sakti ...safar k doran baaligh mehram ya shohar ka sath hona zaruri hai... mahram k liye zaruri hai k sakht faasiq or bebaak na ho 🔹aysa mehram ladka jo baaligh hone k qarib ho us k sath awrat safar kar sakti hai 🔹Nokar seth k taabe hai... Beta farmabardaar....apne baap k taabe hai.... Shaagird apne ustaad k taabe hai.... Iska matlab ye huwa k.... Seth ki jo niyyat hogi wahi nokar ki hogi... Ayse hi Baap ki jo hogi wahi bete ki.... Or Ustaad ki jo niyyat hogi wahi shaagird ki... ...( M )... 🔹agar imaam musaafir hai or muqtadi muqiim ho to 4 rakat waali namaazon me imaam do rakat par salaam k pherne k bad... muqim muqtadi apni baaqi 2 rakat namaaz ada karein or ab in 2 rataton k qeyaam me muqtadi kuch bhi nahi padhenge... sirf sure fatehaa padh li jaaye itni der chup chaap khade raheinge baqi namaaz puri kar k salaam pher dein 🔹musaafir imaam ko chahiye k namaaz shuru karne se pehle is baat ka aelaan kare k .... mein musaafir hun or 2 rakat salaam pher dunga...muqim muqtadi apni baaqi namaaz puri kar lein 🔹agar muqiim imam k piche musafir 4 rakat waali namaaz padhe to 4 rakat puri padhe RADDUL MOHTAAR... FATAWA AALAMGIRI... BAHARE SHARIYAT...
Posted on: Sat, 14 Jun 2014 20:09:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015