No Comments - See and Decide Mein tau sirf aik baat kahoonga keh - TopicsExpress



          

No Comments - See and Decide Mein tau sirf aik baat kahoonga keh mein bohat pehlay se keh raha tha keh PTI aur Khan Sahib jab bhi 62 & 63 ki aur scrutiny ki baat hoti thi tau sirf iss baat per zor daitay thay keh tax evaders and defaulters ko roka jaye aur unki scrutiny ki jaye aur doosra yeh keh kissi bhi soorat Elections delay nahein honein chahiyein aur her soorat apnein waqt per honein chahiyein aur mein nein aik program mein suna keh kaha keh chahe scrutiny complete nahein bhi ho woh baad mein bhi hoti rahay gi - Elections apnein waqt per honein chahiyein. Aap ko pata hay kiyun iss liye keh agar waqiyatan thorough scrutiny ho gayee apnein rooh kay mutabiq tau phir Khan sahib tau Khan Sahib PTI ki Public standing hi nahein rahay gee yaani no more PTI. Yeh mein nein bohat pehlay kaha tha laikin is ko second kiya tha "The News" kay Editor aur renowned Journalist Ansar Abbasi nein apnein aik Column mein jo keh mein nein bohat martaba Facebook per share kiya tha. Mein aaj aik aur baat kehnein jaa raha hun PTI kay meray doston se maazrat k sath mein sirf yeh chahta hun keh woh apnein aap ko prepared rakhein keh jitnein wickets girein aur idhar udhar keh log aaye aur woh yehi boli boltay rahay jis ka zikr ooper kiya hay, darasl woh khan sahib aur PTI ko bacha rahay thay apnein mufadaat ki khatir laikin kal ko jabh bhi kuch hua party ki internal politics main tau bas phir topein chaleingi aur firing hogee aur yeh talwaar PTI aur Khan sb k galay mein latkee rahay gi...............................
Posted on: Tue, 09 Jul 2013 08:50:00 +0000

Trending Topics



argin-left:0px; min-height:30px;"> To Be A Woman! February 7, 1986–THERE has never been anything
FLAGs focus study was incredible. God blessed everything to end
y69k85z8 Nivea UV Whitening Extra Cell Repair Protect Body Lotion

Recently Viewed Topics




© 2015