PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB: . 1> Bismillah Sharif padh ke - TopicsExpress



          

PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB: . 1> Bismillah Sharif padh ke piye. 2> Thanda Paani peena Sunnat hai. 3> Paani 3 saans me peena sunnat hai, Aur saans bartan ke baahar li jaaye. 4> Paani baith kar piye, Khade hokar hargiz na piye. 5> Qible rukh kar ke peena sunnat hai. 6> Kaanch ke bartan me paani peena sunnat hai, Iska matlab ye nahi ke dhaat ke bartan me nahi pi sakte. 7> Paani achhi tarah dekh ke peena. 8> sone chaandi k bartan me khaana peena Aag ko apne Pet me daakhil karne ke baraabar hai. 9> Ondhe Muh hokar kutte ki tarah bartan me muh daal ke peena mana hai. 10> Glaas me paani itna hi lo Jitna peena ho, Agar bach bhi jaye to phenko na balke kisi bartan me rakh lo. 11> Paani pehle sab ko pilaao, Sab se aakhiri me khud piyo. 12> Choos ke piye, Bade bade Ghoont na piye. 13> Sar ko Dhaank kar pina Sunnat hai. 14> Paani peete hue Ahtiyaat kare ke neeche na tapke. 15> Peene ke baad Alhamdulillah kahe. 16> HUZOOR (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) ne Kaanch, Mitti, Taambe aur Lakdi ke bartano me paani nosh farmaaya. . join now+++++Sabka malik Allah h
Posted on: Fri, 26 Jul 2013 07:13:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015