PART __13 MOHARRAMUL HARAM FAZA,AIL AUR - TopicsExpress



          

PART __13 MOHARRAMUL HARAM FAZA,AIL AUR WAQIAAT: ............................................................................................................ SHUHADAA KE FAZAIL: ALLAH AZZAWAJAL Shuhadaa e kiraam ki Fazeelat bayaan karte huay Quran e Muqaddas mai irshad farmata hai : و لا تقو لو ا لمن یقتل فی سبیل ا للہ ا مو ا ت بل ا حیا ء و لکن لا تشعر و ن Jo Khuda ki Raah main Qatl kiye Jaye unhe Murda Mat kehna Balke wo zinda hai Lekin tumhe khabar nahi . (پ ۲ ع ۳) Hazrat Ibne Masaood Radi Allahu Taala Anhu farmate hain ke Main ne is Aayat e Karima ka Mana Rasool e Akram sallAllahu Taala Alaihi wasallam se Daryaaft(poocha ) kiya tu Aap ne farmaya ke Shaheedo ki Roohe Sabz (green) Parindo ke Jism me hain , un ke rehne keliye Arsh e Ilahi ke niche Qindilen Latkai gayi hai , Jannat main jahan un ka Ji chahta hai wo Sair(ghoomte) karte hai aur us ke Mewe khate hai . (مسلم ۔ مشکو ۃ ص ۳۳۰) Aur sarkaar e Aqdas sallAllahu Taala Alaihi wasallam Shuhada e Islam ki Azmat bayaan karte hue irshad farmate hai ke shaheed ke liye Khuda e Taala ke nazdeek 6 khoobiyaan hai . (1) Khoon ka paihla Qatra girte hi use bakhsh diya jata hai or Rooh nikalne hi ke waqtus ko Jannat me us ka thikana Dikha diya jata hai (2) Qabr ke Azaab se Mehfooz rahta hai (3) use Jahannam ke Azaab ka Khauf nahi rehta (4) us ke Sar par Izzat o Waqaar ka Taaj rakha jayega ke Jis ka Besh baha (Qeemti) Yaaqoot Duniya aur Duniya ki Tamaam cheezon se Behtar hoga (5) us ke Nikaah me Badi Badi Aankhon waali 72 Hoore di jayegi (6) aur us ke Azizo me se 70 Aadmiyon ke liye us ki Shafat Qubool ki Jayegi . (تر مذ ی ۔ مشکو ۃ ص ۳۳۳)
Posted on: Fri, 08 Nov 2013 14:16:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015