(Please spend some time from your busy life & Read full post & - TopicsExpress



          

(Please spend some time from your busy life & Read full post & share it to more friends.) Bad Qismati se Is UMMAT main, Aese Log bhi Pae Jate hain, Jin ka kaam apne Siwa sab MUSALMAANON ko MUSHRIK AUR BIDDATI kehna aur samjhna hai. Zulum yeh hai, k Yeh Aawaaz Masaajid aur Madaris, donon se Suni jaati hai, Yeh Log yeh Samajhte hain k Hum Dusrun ko MUSHRIK aur BIDDATI keh kar, TAUHEED ki Khidmat kar rahe hain. Haalankay yeh woh log hain, Jo UMMAT-E-MUSLIMA main, Fitnah O Fasaad ka Beej Bo Rahe hain, Inhon Ne JAAN BOOJH kar SHIRK ki Itni IQSAAM (TYPES) bana lin hain, k In k Siwa koi Bhi Aadmi MUSALMAAN na Kehelwa sake. MEHRABANI KARE KE IS POST KO PURA PARE, Share Karey AUR APNE EMAN KO PUKHTA KARE. **************************** TAUHEED K MEANING: ALLAH TAALA ki Zaat-e- paak ko uski zaat o siffaat main shareek se Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TAALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH TAALA na maanen, agar koi ALLAH TAALA k hote huwe, kisi dusre ko ALLAH TAALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TAALA main Shirk karta hai. SHIRK kise kehte hain: - ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiyah main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain, Kisi ko Shareek therane se murad yeh hai k, Majoosiyon ki tarah kisi ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha jae, ya But Paraston ki tarah kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese, Majoosi (AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k laek samajhne waala Mushrik hoga.. E.g Jese But Parast jo Buton ko Mustahik-E-ibad atsamajhte hain. SHIRK ki QISMEN (types or Kinds): 1) SHIRK-FIL-IBADAT 2) SHIRK-FIZ-ZAAT 3) SHIRK-FIS-SIFFA AT ▪▪► 1) SHIRK-FIL-IBADA T: Is se murad hai, k ALLAH TAALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k Laek samjha jae.. ▪▪► 2) SHIRK-FIZ-ZAAT: Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAH TAALA jesa maanna, jesa k Majoosi 2 khuda ko maante the.. ▪▪► 3) SHIRK-FIS-SIFFA AT: Kisi Zaat o shakhsiyat wagera main ALLAH TAALA jesi Siffaat maanna (ALLAH TAALA ki Ata bager), SHIRK-FIS-SIFFA AT kehlata hai. SAITAAN SHIRK-FIS-SIFFAT ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, Aur Yahaan Ummat main wiswisay peda karta hai. Ab main aap ko QURAAN ki Aayat k zariye SHIRK-FIS-SIFFA AT samjhata hun.. Gor se parhiya ga ●●► 1) * ALLAH TAALA RAOUF AUR RAHEEM HAI: Tarjuma:Beshak ALLAH TAALA Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai. (Surah Bakara, Aayat 143) * SARKAR (ALEH SALAAM) BHI RAOUF AUR RAHEEM HAIN: Tarjuma:Beshak tumhare pas tashreef lae, tum main se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain. (Surah Toba, Ayat 128, Para 10) NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur RAHEEM,ALLAH TAALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya, to kiya yeh SHIRK hogaya???? Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TAALA haqeeqi tor par RAOUF aur RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TAALA ki Ata se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojae, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta. ●●► 2) * ILM-E-GAIB, ALLAH TAALA K SIWA KISI K PASS NAHIN: Tarjuma:Tum farmao ALLAH k siwa Gaib nahin jante, jo koi Aasmanon aur zameenon main hai. (Surah Namal, Aayat 65, Parah 20) * RASOOLON KO BHI ILM-E- GAIB ATA KIYA GAYA: Tarjuma:Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta. (Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29) NOTE: Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TAALA ki Siffat hai, magar Dusri Aayat se maaloom huwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TAALA ne apne pasandeedaRASOO LON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK hogaya?? Is ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TAALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB hai, jab kALLAH TAALA k tamaam RASOOLON ko ALLAH TAALA ki Ata se ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka faraq waazeh hojae, wahaanSHIRK ka hokum nahin lagta. ●●► 3) MADADGAAR SIRF ALLAH TAALA HAI : Yeh is liye ke Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai (Surah e Muhammad, Aayat 11, Parah 26) JIBRAEL (ALEHI SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN: Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain. (Surah e Tehreem, Aayat 4, Parah 28) Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peIda hoga, ke Madad karna ALLAH TAALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa??? Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Aliya-E-Karam, ALLAH TAALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TAALA Ata farma rahi hai, us main Aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??? »»► Shirk Ke Fatwa Factory walon Listen!! Isi Tarah Ham Garib Nawaz Se Mange to Iska matlab ye Hai ki Garib Nawaz Allah ki Ata se Hame Ata Karenge. (● Koi Sunni Garib Nawaz Ko ALLAH Samjh Kar Nahi Maangta.) »»► Ab Yaha Koi Akal ka Andha sahihul Aqeedah Musalmaan Par Shirk ka Fatwaa Lagaye to uska Khud Ka Imaan Khatre Me Par sakta Hai.
Posted on: Fri, 11 Apr 2014 09:01:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015