Question:Kya Shariyat Ky Nizam Ko Naafiz Karna Yani Qaim Karna Is - TopicsExpress



          

Question:Kya Shariyat Ky Nizam Ko Naafiz Karna Yani Qaim Karna Is Duniya Mein Lazim Hy? Answer:ALLAH PAK Ky Jo Ehkaam Hein Wo 8 Kisam Ky Hein,Un Ehkaam Mein Sab Sy Pehla Darjah Farz Ka Hy Aur Farz Ki Aagy Mazeed 2 Iksam Hein,Aik Farz E Ain Aur Dosri Farz E Kifaya.Farz E Ain Sy Murad Kalma,Namaz,Rozah,Hajj,Zakat Hy Jo Ky Har Musalman Ny Poray Karny Hein,Hajj Aur Zakat Ky Muamlay Mein Sahib E Nisab Aur Sahib E Haysiat Hona Lazmi Hy Aur Farz E Kifaya Wo Hota Hy Jo Chandd Musalmano Ki Taraf Sy Adaa Kar Diya Jaey Tou Tamam Musalmano Ki Taraf Sy Adaa Ho Jata Hy,Misal Ky Tor Par Namaz E Jinaza Agar Chandd Musalman Kisi Aur Musalman Ka Namaz E Jinaza Adaa Kar Dein Tou Is Ka Matlab Yeh Hua Ky Farz E Kifaya Tamam Musalmano Ki Taraf Sy Adaa Ho Gaya Par Agar Koi Bhi Musalman Jinazay Mein Shareek Na Hua Tou Tamam Musalman Gunahgaar Hongay,Aur ALLAH PAK Ky Aagay Jawab Deh Bhi,Aisay He Shareyat Ko Qaim Karnay Ka Mauamla Hy Ky Shariyat Ka Nizam Poree Duniya Mein Qaim Karna Musalmano Par Farz E Kifaya Hy... Agar Chandd Musalman Mil Kar Poree Duniya Mein Ya Tou Phir Kisi Aik Mulk Mein Shariyat Ka Nizam Qaim Kar Dain Tou Yeh Farz E Kifaya Hum Sab Ki Taraf Sy Adaa Ho Jaey Ga Aur Agar Musalmano Mein Sy Kisi Ny Bhi Shariyat Ky Nizam Ko Is Duniya Mein Qaim Karnay Ki Ya Kisi Aik Mulk Mein Is Nizam Ko Qaim Karnay Ki Koshish Na Ki Yani Yeh Nizam E Mustafa Kisi Aik Mulk Mein Bhi Qaim Na Kar Sakay Tou Tamam Ky Tamam Musalman Gunahgaar Hongay Aur Azab Ky Mustahik Bhi.Is Duniya Mein 55 Sy 57 Countries Musalmano Ky Hein Aur Abhi Tak Kisi Bhi Mulk Mein Nizam E Shariyat Qaim Nahi Hua Tou Is Sy Murad Yeh Hy Ky Hum Sab Musalman Jin Ki Tadaad 1 Arab 40 Crore Hy, Azab Ky Mustahik Aur Gunahgaar Hongay.Bas Aap Logon Sy Itni Request Hy Ky Is Khilafat Ky Nizam Ko Support Kijyay Kyunky Yeh Khilafat Ka Nizam Qaim Karna Hum Sab Musalmano Par Farz E Kifaya Hy.(Islam Ki Baat)
Posted on: Tue, 05 Nov 2013 06:20:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015