Question: kuch log kehte hai ki ahle sunnat wale mazaar parasti - TopicsExpress



          

Question: kuch log kehte hai ki ahle sunnat wale mazaar parasti karte hai(grave wroshipper) hai ab yeh log ko kaise samjhaye ke hum mazaar par maangte nahi hai ibaadat nahi karte hame malum hai ke sirf ibadat allah he ke liye hai or ibadat ke layakh sirf allah hai... (Rem. koi bhi suuni mazar par jaa kar sajdaa ya unki ibaadat nahi karta, unke waseele se allah se maangte hai jo jaiz hai, ham sabit kar sakte hai ). Ans. In Hindi Jaise ki ye Wahaabe log kehte hai ki hum log kabron ki puja karte hai yaani ke hum log Allah ke saath kisi aur ki ibadat karte hai, to aap unse kahe... Musnad Ahmed 5/428 23680 Nabi Kareem sualalahualaihe wasallam ne farmaya "main tum pe jis cheez se darta hun woh hai Shirk Al Asghar (Chota Shirk) Sahaba ne pucha ye shirk kya hai, aap ne farmaya"Riya yaani dikhawa" Nabi kareem sualalahualaihe wasallam ne Shirk Al Akbar nahi kaha jo ke Allah ke saath kisi aur ki ibadat karne ko kaha jaata hai bulke kaha Shirk al Asgar jo ke riya hai (Dikhwa in ibadat) Ye is baat ki dalil hai ke is ummat mein koi shirk nahi karegaa.
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 15:50:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015