Raanjhana Engineered Bus…. Bus itni hi kahaani thi meri..Ek - TopicsExpress



          

Raanjhana Engineered Bus…. Bus itni hi kahaani thi meri..Ek kitab thi jise maine semester bhar chuaa nai tha. Ek kuch teachers the jo abhi bhi iss ummeed me the ki shayad launda pass ho jaye. do roomie the jo pagal the. Ek aur kitab thi jo course ki nai thi jise mai 3 baar padh chuka tha. Mera lappy tha, mobile tha, daru ki bottl thi, aur ye ek dimag tha jo hamara sath chhod chuka tha, aur ye ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi.hum padh sakte the, par kiske liye, hum fod sakte the par kiske liye.mere dost, hostel, college ki galiyan, sab mujhse chhut raha tha, per rakh bhi kiske liye lete. Mere dil ki takat ya to mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi... per sala ab padhe kon, kon fir se mehnat kare xerox karane ko, notes ratane ko. abe koi to awaaz deke rok lo,ye faculty jo class me har roz hamari lete rehte hain, aaj bhi agar theek se padhaye to mahadev ki kasam top kar jayen...per nahi, ab sala mood nai hai,kitab band kar lene me hi sukh hai, notes rakh dene me hi bhalai hai.Per uthenge kisi roz, back papers clear karwane ko, Computer degree pass ho jane ko, garv se Computer engineer kehlane ko..!!
Posted on: Mon, 28 Oct 2013 10:44:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015