Reasons why we lost in Mumbra. Views by Mr.Daniel Messi. My 13 - TopicsExpress



          

Reasons why we lost in Mumbra. Views by Mr.Daniel Messi. My 13 points.. kya galat hua and Q haari MIM itni buri tarah se.. 1. Candidate was not good (not talking about character or reputation.. but compared to Mr. Awhad.. he was not preferred by Mumbra n Kalwa voters) .. koi reputated candidate hota toh chance badh jata jeetne ka.. 2. Sirf Owaisi brothers ke jalse mei dikhe candidate... (har gali n har area mei khud jana chahiye tha n logo se milkar unke problems and demand ko samjhna chahiye tha aur khudko introduce karana chahiye tha) 3. Bohot late entry hui MIM ki.. last ke 20 days mei campaigning karke jeetna near impossible tha 4. Mumbra-Kalwa ek hi seat hai.. toh sirf Mumbra k votes se jeetege.. wo expectation galat prove ho gaya.. becoz 75000 ppl voted in Mumbra.. 87000 voted in Kalwa.. us mei bhi NCP n MIM mei vote divide hua Mumbra mei.. so impossible to win only from Mumbra votes. 5. Manifesto jaisa kuch toh nikalna chahiye tha.. bhale hi koi chhoti chiz bhi hoti.. kuch scope batana chahiye tha.. 6. Ladies log MIM jalse mei nai aate.. Owaisi brothers ijazat nai dete iski.. very good thing and in favour of Deen.. but Jo males aate hai unhone MIM k bare mei prachar apne ghar ki aurto mei nai kiya.. is vaja se MIM ka support mostly male log se hi tha.. Ladies log kam jaan paye MIM k bare mei. 7. Kalwa mei jalsa nai rakhe.. rakh bi nai paate becoz of Non Muslim majority.. but waha ke Muslims ko invite and inform karna chahiye tha n waha personally jaake campaigning karna chahiye tha.. 8. Lack of Promotions and social Media msgs... jaise Mr. Awhad ka FB account hai.. waise hi candidate ka bhi hona chahiye tha.. sirf whatsapp se nai ho sakta prachaar.. ek public image banana zaruri hai.. through own FB accounts 9. Lack of MIM offices and information tables.. har gali mei lagana chahiye tha.. even kalwa Muslim areas mei bhi 10. Sabse zyada fan following and support youngsters ka tha MIM ko.. 18 - 30 years ke logo mei But sabse zyada registered voters 31 - 50 age category ke log hai Aur jo young supporters the.. us mei kafi logo k paas voter ID nai tha ya list mei naam nai tha.. Aged people mostly voted for NCP 11. Kalwa ka logo ne traditional votes chhodke.. yani Shiv sena ko chhodke NCP ko vote diye.. game vahi over ho gaya.. jo unexpected tha.. and mumbra kalwa dono se mast vote mila NCP ko.. jo kisi ne bhi predict nai kiya tha 12. Proper management nai tha Mumbra mei MIM ko popularise karne ka.. sab young volunteers hi kar rahe the... 8-10 senior log hone chahiye tha jo apne management se barabar prachaar kar sakte the.. jaise NCP ke kafi senior logo ne all over Mumbra Kalwa mei kiya.. And last point.. 13. Kuch afwaa.. fake newspapers.. fake stories aur kafi kuch nikala gaya tha NCP walo ki taraf se So isse bhi fark pada kafi logo par.. jo ke politics mei aksar karte hi hai jeetne k liye...
Posted on: Tue, 21 Oct 2014 09:54:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015