Rishtedaro Se Bhalayi Ka Hukum Har Haal Mein Hadees : Hazrat - TopicsExpress



          

Rishtedaro Se Bhalayi Ka Hukum Har Haal Mein Hadees : Hazrat Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Ek Shaks Ne Arz Ki, ✏Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ! Mere Baaz Rishtedar Hai, Mai Unse Ta’alluq Jodta Hoon Wo Mujh Se Ta’alluq Todte Hai, Mai Unke Saath Acha Salook Karta Hoon, Wo Mere Saath Bad’salooki Karte Hai. Aur Mai Unki Ziyadtio Ko Bardasht Karta Hoon, Wo Mere Saath Jahalat Se Pesh Aate Hai”. Aaqa-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya, ✏“Jaisa Tum Kah Rahe Ho Agar Aisa Hi Hai Toh Goya Tum Unke Munh Me Garam Garam Raakh Jhonk Rahe Ho. Aur Jab Tak Tum Iss Khoobi Per Qayam Rahoge Tumhare Saath Har Waqt Allah Ta’ala Ki Taraf Se Ek Madadgaar Rahega”. 󾔀(Muslim Shareef, Bab Silah Raham : 6525) ✏Sabak : Lihaza Har Haal Me Apne Akhlaaq (Manners) Mein Narmi Barto Aur Sila Rehmi Karo Taaki Tum Allah Ki Rehmat Ke Muntazir Reh Sako. Means Yeh Ke Rishtedaro Se Achcha Suluk Karo Agarche Woh Tumhare Saath Bura Suluk Karte Ho Fir bhi Unke Saath Narmi Aur Bhalai Se Paish Aao Tumhari is Achchai Ka Badla Allah Zarur Dega.
Posted on: Sun, 01 Dec 2013 18:54:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015