Roza ============================ Assalamu alaikum. kal ya parsu - TopicsExpress



          

Roza ============================ Assalamu alaikum. kal ya parsu se Ramazan ul Mubarak ka mahina shuruu hone jaraha hai. Isme ek neki ka sawab 70 guna(times) badha diya jata hai. Ek nafil ka sawab ek farz ke barabar milta hai aur ek farz ka 70 faraiz ke barabar. Ye mahina Nekiyan kamane ka mahina hai. Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne Is mahine ke bade fazael bayan kiye hain aur Riwayaat me aata hai ke Tez hawa se ziada ap sallalallahu alaihi wasallam is mahine ke aakhri ashre me Bhalai karne me tez hojaya karte the. ek hadees ka mafhoom hai jisme Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Roza Dhaal hai.Jab tumme se koi Roza ho to Behayai ki baten na kare or Shor na kare.Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU. (BUKHARI) FB jitna rozana istemal karte hain utna waqt Quran paak ki tilawat me den. ye wahi mahina hai jisme Quran naazil hua. har lamha iska qeemti banayen waqt ko zaaya na karen aur khussoosan jhagde bahes kar ke apne Qeemti auqaat ko zaya na karen. Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen. —
Posted on: Tue, 09 Jul 2013 17:21:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015