SAHABA(RAZI ALLAHU ANHUM) Quran Muhammad Rasoolullah(Sallallahu - TopicsExpress



          

SAHABA(RAZI ALLAHU ANHUM) Quran Muhammad Rasoolullah(Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Jo Log unke sath hai, zor awar hai kafiro par, Naram Dil hain apas me.(Aye Dekhne wale) tu unko dekhe RUKU me aur SAJDE me Dhoondte hai ALLAH ka fazal aur uski khushnudi talab kar rahe hai, Nishani unki unke MUH par hai SAJDE ke Asar se (29:48) Ahadis Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ¤”Mere SAHABA ke bare me ALLAH TA’ALA se Daro aur Unhe Mere Baad Nishana na Banao, Jisne Unse Mohabbat ki usne MUJH se MOHABBAT rakhne ki Wajeh se unse Mohabbat ki aur Jisne unse BUGHZ rakha usne MUJH se BUGHZ ki wajeh se unse BUGHZ rakha, jisne Unhe TAKLEEF pohanchai usne Mujhe Takleef di aur Jisne MUJHE TAKLEEF di usne ALLAH ko Takleef di aur Jo ALLAH ko Takleef pohanchaiga to Qareeb hai ke (ALLAH)usko apni pakad me lele . (TIRMIZI) Sahaba ka Ehtraam karen. Sahaba se Mohabbat IMAN ki nishani. Sahaba Deen Ki Bunyaad hai. Sahaba ki Shaan me Bad Zubani karne wale se Rishta todne ka hukum hai. RAZI ALLAHU ANHUM WA RAZOO ANH.
Posted on: Tue, 17 Sep 2013 08:31:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015