SALAAM KYU PADHTE HAI, KYA HUZOOR NABI E KAREEM (Sallallahu - TopicsExpress



          

SALAAM KYU PADHTE HAI, KYA HUZOOR NABI E KAREEM (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) SUNTE HAI ? HAZRAT ABU HURAIRA (RAZIALLAHU ANHU) SE RIWAYAT HAI KE RASOOLALLAH (SALLALLAHU ALAIHE VA SALLAM) NE FARMAYA KOI BHI SHAKHS MUJH PAR SALAM BHEJTA HAI TO BESHAK ALLAH NE MUJH PAR MERI ROOH LAUTA DI HUI HAI,YAHA TAK KE MAI USKE SALAAM KA JAWAB DETA HU. REFRENCE: SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL MANASIQ, BAAB ZIYARAT UL KUBUR ,JILD 02, SAFA 218,AL RAKAM 2091 / MUSNAD E AHMED FIL MASNAD,JILD 02,SAFA 524,AL RAKAM 10824 / SUNAN BEHQI,JILD 10,SAFA 290,AL RAQAM 10050 / SHOIAB UL IMAAN,JILD 02,SAFA 214,AL RAQAM 1081,9161. ISI LIYE TO BARIELLY KE TAAJDAR PUKAAR UTHE HAM YAHA SE KAHE WAHA WO SUNE MUSTAFA KI SAMAAT PE LAAKHO SALAAM DOOR O NAZDIK KE SUNNE WALE WO KAAN KAAN E LAAL E KARAMAT PE LAAKHO SALAAM MUSTAFA JAANE RAHMATH PE LAAKHO SALAAM SHAMH E BAZM E HIDAYAT PE LAAKHO SALAAM !! Sallallahu Taala Alaihi Wasallam !!
Posted on: Fri, 19 Sep 2014 05:56:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015