*SHAAN E HASNAIN KAREEMAIN* . Ek Martaba Hazrat Imaam - TopicsExpress



          

*SHAAN E HASNAIN KAREEMAIN* . Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan (RadiAllahuTaa laAnhu) Aur Imaam Husain (RadiAllahuTaal aAnhu) Ne Bachpan Me Do Takhtiya Par Kuch Likha Aur Ek Dusre Se Kahne Lage Ki Mera Khat Achha Hai. . Chunanche Dono Is Baat Par Faisla Karane Ke Liye Hazrat Ali (RadiAllahuTaal aAnhu) Ke Paas Pahuche . Maula Ali (RadiAllahuTaal aAnhu) Ne Yeh Faisla Hazrat Fatima (RadiAllahuTaal aAnhu) Ke Paas Pachuchaya Diya. . Hazrat Fatima (RadiallahuTaal a Anha) Ne Farmaya Beto! Is Baat Ka Faisla Tum Apne Nana Jaan Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) Se Karao. . Chunanche Dono Bhai Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) Ki Khidmat e aqddas Me Haazir Huye. . Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya Tumhara Faisla Jibrail Karenge. . Jibrail Ameen Haazir Huye Aur Kahne Lage Ya Rasulallah! Khuda Taala Yeh Faisala Khud Farmayega. . Chunanche Khuda Taala Ka Jibrail Ko Hukm Hua Ki Jibrail Jannat Se Seb Le Jao. Woh Seb Un Dono Ki Takhtiyo Par Daal Do, Seb Jinki Takhtiyo Par Thahar Jaye Wo Khat Achha Hai. . Chunanche Jibrail Ne Jannat Ka Ek Seb Laakar Un Takhtiyo Par Gira Diya To Khuda Ke Hukm Se Us Seb Ke Do Tukde Ho Gaye Ek Tukda Hazrat Hasan (RadiAllahuTaal aAnhu) Ki Takhti Par Aur Dusra Hazrat Imaam Husain (RadiAllahuTaal aAnhu) Ki Takhti Par Jaa Gira . aur Faisala Hua Ki Dono hi Ki Takhti Achhi Hai. . (NUZHATUL MAJAALIS JILD-2,SAFA-391 ) . Hazrat Imaam Hasan (RadiAllahuTaal aAnhu) Aur Hazrat Imaam Husain (RadiAllahuTaal aAnhu) Ko Khuda Taala Se Ek Khaas Nisbat Thi Khuda Taala Apne Mehboob Ke In Shahazado Ki Dil Shikni Nahi Chahta. . Fir Jo Bad aqeeda in Shahazado Ki Tauheen Kare To Woh Kis Qadar Zaalim Hai.
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 06:38:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015