SUNNIYO KE SARE AQIDE QURAN AUR HADIS SE SABIT HE. AAP ES POST KO - TopicsExpress



          

SUNNIYO KE SARE AQIDE QURAN AUR HADIS SE SABIT HE. AAP ES POST KO PURA PADH LE INSHAALLAH KOI BHI APKO GUMRAH NAI KAR SKEGA. Aqeeda 1.Rasoolallah(s allalaho alaihiwasallam) Noor hai, Noorul bashar hai. Quran Sharif: Beshak tumahare paas Allah ki taraf se ek Noor aaya Aur roshan kitab. (Surah Maida verse 15) Is Ayat me “Noor” se muraad Huzoor (Sallalahoalaih i wasallam) ki Zaat-e-paak hai. [Tafseer ibn Abbas Pg.72 - Published Egypt] Hadees sharif : Hazrate Jabir RadiAllaho ta’ala ne Huzoor (alaihisallaam) se jab poocha ke Allah Ta’ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya Ispar Rasoolallah (Sallalaho alaihiwasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ta’ala ne Sabse pehle Apne noor se Tere nabi ke Noor ko paida farmaya” [Mawahibul Laduniyah Shareef Pg.9 Vol.1 - Zurqaani Shareef Pg.46 Vol.1 – Seerat-e-Halbia Pg.37 Vol.1 - Sharah Dalailul Kheyraat Pg.210 – Hujatul’laahial al Alameen Pg.28 - Anwaarul Muhammadiya Pg.9 - Fatawa Hadeethia Pg.51] Hazrat Ali (RadiAllaho ta’ala anho) farmate hain “jab Huzoor (sallalahoalaih i wasallam) kuch Irshaad farmate the to unke mubarak daanton ke bich me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi” [Mawahibul LaduniyahPg. 270 Vol.1 - Anwaarul Muhammadiya Pg.132 - Zurqaani Shareef] Ummul mumineen Hazrate Aisha Siddiqa RadiAllahota’al a anha farmati hain “Main Andheri raaton me bhi sui me dhaage puro leti thi, Huzoor alaihisalaam ke Noor ki roshni se” [Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz Pg.328 Vol.1] Isliye Sayyedi Sarkar Alahazrat Farmate hain: Teri Nasle Paak me hai Bacha Bacha Noor ka.. Tu hai Aine Noor Tera sab gharana Noor ka...! ----------
Posted on: Fri, 26 Jul 2013 01:34:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015