* Sahaba-e-Kiram Sitaaron Ki Tarah Hain * » Sahaaba Ke Tarike - TopicsExpress



          

* Sahaba-e-Kiram Sitaaron Ki Tarah Hain * » Sahaaba Ke Tarike Par Amal Karna Allah Ke Nazdik Hidayat Par Hai « Hazrat Umar Bin Khattab (Radiyallahu Anhu) Farmate Hain Ke Nabi-e-Kareem (Sallahu Alayhe Wa Sallam) Ko Farmate Huwe Suna Ke Ki ‘Mere Allah Se Maine Apne Intiqal Ke Baad Mere Sahaba-e-Kiram(Radiyyallahu Anhuma) Ke Bich Ikhtilaf Ke Baare Me Poocha Toh Mere Allah Ne Mujhper Wahi(Kalaam) Ke Zariye Bataya Ki, Aye Muhammad(Sallahu Alayhe Wa Sallam)! Aapke Saathi Mere Nazdik Aise Hain Jaise Aasmaan Par Sitare! Kuch Inn Me Mazboot Hain Yaani Unme Roshni Zyada Hai Aur Kuch Aise Hain Ki Unn Me Roshni Kuch Kum Hai, Lekin Baharhaal Sab Ke Sab Roshan Hain, Pus Jisne Unke Ikhtilaaf Me Se Kuch Liya (Jis Bhi Sahaabi Ke Tarike Par Amal Kiya) Wo Mere Nazdik Hidayat Par Hai. Hazrat Umar (Radiyallahu Anhu) Ka Bayan Hai Ke, Allah Ke Rasool(Sallahu Alayhe Wa Sallam) Ne Irshad Farmaya Ki, “Mere Sahaba (Radiyyall Ahuanhuma) Sitaaron Ki Tarah Hain Inn Me Tum Jiski Bhi Pairawi [Taqlid] Karoge Hidayat Paa Jaaogey” (Mishqatul Masabih Jild-2, Hadith No-5732) https://facebook/AlQuranSunnateRasool
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 13:01:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015