Sahil, Rait, Samandar, Lehrain, Basti, Jungle, Sehra, - TopicsExpress



          

Sahil, Rait, Samandar, Lehrain, Basti, Jungle, Sehra, Dariya, Khushboo, Mosam, Phool, Dareeche, Baadal, Sooraj, Chaand, Sitare... Aaj ye sab kuch naam tumhare...! Khaab ki baatain, Yaad k qisse, Soch k pehlu, Neend k Lamhein, Dard k aansoo, chain k naghme, Urte waqt k behte dhaare... Aaj ye sab kuch naam tumhare...! Rooh ki aahat, Jism ki junbish, Khoon ki gardish, Saans ki larzish, Aankh ka pani, Chahat k unwaan ye sare... Aaj ye sab kuch naam tumhare...!
Posted on: Sun, 18 Aug 2013 19:02:43 +0000

© 2015