Science & Ilm-e-Gaib Of Nabi( sallalaho alahi wasallam ) » 1400 - TopicsExpress



          

Science & Ilm-e-Gaib Of Nabi( sallalaho alahi wasallam ) » 1400 Saal Pehle Insani 360 Haddiyon Ka Zikr Ho Chuka « ■ Hadees: Hazrat Ayesha (Radiyallaahu Anha)Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Har Insan Ki Takhleeq Me 360 Jod (Joints of Bones) Banaye Gaye Hain, So Jis Ne Allahu Akbar Kaha, Alhamdulillah Kaha, La’ilaha Illa’llah Kaha, Subhanallah Kaha, Astagfirullah Kaha, Raaste Se Patthar Ya Kanta Ya Haddi Hatadi, Acchi Baat Ka Huqm Diya Ya Buri Baat Se Roka To Ye Teen So Saath (360) Jodon (Joints) Ki Ginti Ke Barabar (Shukr Ada Karne Ki Tarah) Hai Aur Goya Wo Shaqs Uss Din Apne Aap Ko Jahannam Se Aazad Karwa Kar Chal Phir Raha Hai”. -:(Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2199) ■ Science Approval: 1400 Years Years Pehle Na Science Thi Aur naa Hi Koi Insani Jism Ko Scan Karne Ka Koi zariya, Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne (Wahi Ilahi Ke Noor Se) Insani HaddiyonAur Jodon Ki Ta’dad Muta’yyan (Exact)Tor Par Teen So Saath (360)Bayan Farmadi, Aaj Medical Science Me Insani Haddiyon Aur Jodon Ke LiyeEk Mustaqil Shoba Anatomy Wujood Me Aa Chuka Hai Aur Iss Sho’be Ke Muhaq’qiqeen Ka Tasleem Karna Hai Ke Insani Jodon Ki Ta’dad Teen So Saath (360) Hi Hain..!!
Posted on: Sat, 31 Aug 2013 03:30:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015