∗ Shatranj (Chess) Aur Chausar Khelna Najayaz ….. » Hadees - TopicsExpress



          

∗ Shatranj (Chess) Aur Chausar Khelna Najayaz ….. » Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, “Jo Shatranj (Chess) Aur Chausar Khelta Hai Wo Uss Aaadmi Ki Tarha Hai Jisne Apne Haath Suar (Pig) Ke Gosht Aur Khoon Me Rang Liye Ho”. - (Sahih Muslim Book 028, Hadith Number 5612) » Note : Beshaq Jo Amaal (Shouk) Hamare Nafs Par Iss Tarha Haawi Ho Jaye Ke Ham Ek Pal Ke Liye Bhi Akhirat Ki Fikr Se Gafeel Hone Lage Wo Har Haal Me Najayaz Wa Haraam Hai. Lihaza Har Emaanwalo Par Laazim Hai Ke Har Pal Khuda Ki Khushnudi Ke Saath Zikr-e-Ilaahi Me Mashgul Rahe, Aur Apne Nafs Ko Uss Kaam Me Mubtela Kare Jo Hamari Aakhirat Ke Magfirat Ka Jarya Ban Sake. Shatranj, Gaana-Bajana, Juwa, Sharaab Inn Sab Ko Rasool’Allah Ne Is Tour Par Manaa Farmaya Hai Ke, Log Isme Itne Mashgul-Wa-Mubtela Ho Jate Hai Ke Uss Douran Na Anzam Ki Fikr Rehti Hai Aur Na Hi Khalik-e-Akbar Ka Khayal
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 22:23:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015