Sindh Eik Confused Region hai-Sindh ke Stakeholders Sindhiyon Ke - TopicsExpress



          

Sindh Eik Confused Region hai-Sindh ke Stakeholders Sindhiyon Ke Elawa Kon Kon hain??? ===================================================== Bahir ki dunya ke liye sindh eik Confused region ban chuka hai.. Sindhi Speaking community sindh naam ka najaiz faida uthate huye Apni zaban, Culture and traditions Sindh ki doosri qomon per zabardasti impose kar rahi hai.. Sindh main sindhiyon ke elawa Indeginous Seroli Speaking Punjabi, Gujrati, Koli, Thari(Dhatki/Marwari), Brahui, and Settlers nations like Baloch, Urdu Speaking(UP, CP), Rajisthani, Behari, Dakhni muslims of India, Punjabi, Pathan, Bengali bhi rehte hain. In sab qomon ko apna Culture, Language oar taditions promote and adopt karne ki azaadi honi chahiye.. Sindhi Speaking log sindh main 15-20% ke darmeyan hain laikan bahir ki dunya main ye perception bani hui hai ke shayed sindh main sindhiyon oar urdu speaking ke elawa koi oar rehta he nahi oar sindh siraf sindhiyon ka hai jo ke galat hai.. settler nations ko agar hum chhor bhi dain tab bhi Seroli Punjabi, Gujrati/Koli, Brahui, oar Thari(Dhatki/Marwari) to Indeginous nations hain Sindh ki. Sindh ab eik Confused region ban chuka hai kisi ko pata he nahi ke sindh ke stakeholders kon kon hain. Isliye ab officially sindh ke stakeholders ka faisla hona chahiye oar sindhi minority ki ajaradari khatam karwayee jaye.
Posted on: Fri, 31 Jan 2014 02:28:41 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015