Stories updated here are copied from various other sides and are - TopicsExpress



          

Stories updated here are copied from various other sides and are not original. The page respects and admires the writers and thanks them for their valuable contribution to our entertainment . title - Lat Lag Gayi . chapter-1 #update-1 Aaj se 3 saal pahle jab maine kanpur me kadam rakha tha to meri aankho me hazaro sapne aur dil me junoon tha kuch bada karne ka. Jaise jaise waqt beet-ta gaya mai apne career banane ke sapno ko chhod ladkiyo ke sapne dekhne laga aur aaj mai zindagi ke us do raahe par khada hu, jaha se aage mujhe koi bhi rasta mujhe najar nahi aa raha. Jis cheej (ladki) ko dil bahlaane aur masti karne ki cheez samjha tha, usi ne meri ye halat kar di ki aaj mai na jee paa raha hu aur mar paa raha hu. Aaj mujhe wo din yaad aa raha jab ye sab shuru hua tha----. . ------3 YEARS BACK----------meri 12th class ke results aaye tha. 83.3% marks aaye the mere. Mera pura pariwaar khush tha. Khusi ka sabse karan ye tha ki Maine apne gaav me sabse jyada marks jo laaye the. Papa ne chacha ke sath milkar turant hi ye plan bana liya tha; ke aage ki padhayi ke liye mujhe kanpur bheja jayega. Agle 10 din me hi mujhe kanpur bhejne ki puri taiyari bhi ho gayi. Lekin phir bhi ek samasya (problem) thi ki itne bade shahar me joki mere liye ekdam naya aur anjaan tha, waha mai rahuga kaise aur kaha?. Lekin chacha ji ne is samasya (problem) ka hal (solution) bhi turant hi dhund liya. Baat ye thi ki humaare gaav ke pradhan ke badi beti neha bhi kanpur me hi rah kar padhayi kar rahi thi. Pradhan jee aur mere chacha ji bahut hi karibi dost the. jis vajah se humare parivaro me bhi kaafi karibi rishta tha. To faisla ye hua ki mujhe kanpur me neha ke saath rahna padega. Pradhan ji ko hamesha ye chinta rahti thi unki beti itne bade shahar me akeli rahti hai. Mere kanpur jaane se unki ye chinta bhi khatam ho gayi thi. . Jis din mujhe kanpur ke liye jana tha us din subah subah pradhan ji ki choti beti anuradha humare ghar aayi aur seedha mere kamre me aa gayi. varun, tum jaa rahe ho? anuradha ne aate hi pucha. ha, anu maine apna samaan pack karte hue jawab diya. Anuradha jise mai anu bulata tha, hum dono bachpan sehi kaafi karibi dost the. Mai to anu ko bahut pyaar karta tha lekin kahne me dar lagta tha. Anu ne saman pack karne me meri help karne lagi. apne aap ka khyaal rakhna, shahar me bahut se naye dost ban jayege tumhare lekin mujhe bhul mat jana anu ne kaha. Mujhe laga ki mai abhi use apne dil ki baat bata du. Lekin anu ke na kahne ke dar ne mujhe ek baar bhi rok diya. Jaate waqt maine anu ki aankho me dekha to mujhe dost ki jagah ek premika ka pyar najar aaya tha un ankho me. . Chacha aur pradhan ji dono mujhe chhodne aaye the. Neha ek kiraye ke kamre me rahti thi. Makan maalik suneel , pradhan ji ki dur ke rishtedaar the. Makan 2 manjila tha. Ground floor par makan malik suneel apni wife sonali ke sath rahta tha. Jabki 1st floor par neha rahti thi. Mujhe bhi 1st floor par neha ke paas wala room de diya gaya. Apna saaman room me vapas rakh kar jab mai vapas neeche aaya to chacha ji, pradhan ji aur suneel baithe baate kar rahe the. ye to bahut acha hu, itna bada ghar khali pada hua tha, varun yaha rahega to meri bhi tension khatam ho jayegi. Kaam ke silsile me mujhe aksar hi out of city jaana padta hai, to varun ke yaha rahne se sonali meri wife aur neha dono hi secure feel karegi suneel ne kaha tha. . Shaam waali train se chacha ji aur pradhan ji vapas chale gaye the. Mai kamre mai apna samaan set karte hue bahut khush tha, is baat se anjaan ki aage mere sath kya hone wala tha.
Posted on: Tue, 19 Nov 2013 19:18:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015