Story by Rishu John Shimla Railway station Aakash college k annual - TopicsExpress



          

Story by Rishu John Shimla Railway station Aakash college k annual day k baad ghar ja raha hai ab to 3 month k baad hi lotega isliye apne dost ki waja se Train timing se aada ganta late ho gaya, ya yeh mano k Priya ko ek baar jaate jaate dekhne k chakkar mein. Priya, Akash k clg ladki jo us se 1 saal junior hai. To ab janab late ho gaye hai statiön master se pucha to Shimla se Raigarh jaane wali train ja chuki thi aur agli 3 gante baad ki hai, sun k mood to kharab tha Aakash ka but kya karta wait k elava to ek bench pr beth k last year ki baatein yaad karne laga aur Priya ki wo haseen julfe aur wo orange colour k dress ko yaad kr khush b hota aur afsos b hota Akash ko. Ab apne saamne wale bench pr bethe new married couple ko dekh k sochne lagta k kya main b ek din aise hi bethuga kisi k sath, kudh se baatien aur yaadein hi to thi uski is tanahiye ki sathi is station mein. Aachanak Aakash ko jaati train ki aawaaz sunai deti hai to jat se apne black colour ka guddy bag utha kr train k taraf bagta hai aur hawa se udhta hua aa raha green colour ka scarf uski chehre se lipt jata hai to saamne se aati hui ladki Aakash k chehre se lipta hua scarf dekh ruk jaati hai apna left hand se aakash us scarf ko utarne lagta hai right se bag jo pakda hai. Jaise hi wo scarf utarta hai to samne Priya hoti hai. Ooh thx apne isse bacha liya - Priya Aakash - jaldi lo meri train chut jayegi (sahmi aawaaz mein) Priya - haan jaldi muje b issi mein jaana hai Bedh kuch zyda thi pr aamne saamne ki do seats dono ko mil hi gayi. Akash - to kaha ja rahi ho aap? Priya - Jaipur ghar ja ri hu aap to Raigarh ja rahe honge na (Aakash sun k hairaan k jis ladki ko jayda bulaya tak nhi wo ye kaise jaanti hai) Aakash - ye apko kaise pata? Priya - hamare clg ke vice president ho debate competition mein 1st aaye the to itni si knowledge hona to jayaz hai na Aakash - aacha g, muje to pata ni tha k main itna popular hu (thoda muskurate huye) Priya - wo to hai (smile) Aakash - aacha to aap us scarf k piche kyu bagh ri thi Priya - wo meri best frnd Shagun ne diya tha na to khona nhi chahti thi but thx apne bacha liya. Safar chalta ja raha tha Akash khush tha ab ye batane ki jarurat to nhi thi. Train ki khidki se andar aati tez hawa Priya ki buri julfe udha ri thi aur uska yellow color ka suit uski julfo se contrast kr raha tha Aakash ko apni taraf dekhta dekh Priya ne wohi green scarf se apne ballo ko band liya, ab akaash ne socha k kyu na is itefak k wo aur jise wo clg mein sabse zyda pasand karta hai ek train mein hai to kyu na baat aage badai jaye. Aakash - clg ki bahut yaad aayegi na ghar pe? Priya - haan wo to hai pr wapas to aana hi hai holidayz k baad . Aakash- haan wo b sahi kaha waise aap aur apki sab frnd kafi aacha dance kr leti hai Priya - aacha to apne hamara dance performance b dekha tha? Aakash - Main to apke clg k first day se hi apko dekhta aa raha hu Priya - aacha wo kyu (thodi mature awaaz mein) Aakash - aaj b main apko dekhne k liye girlz block k bahar khada tha pr aap dikhi ni, main apko Like karta hu kya aap mujse dosti karogi, muje pata hai k nhi karogi but pure clg mein sirf apko hi dekhta hu main. Priya - Nhi aap galat smjhte apko bahut baar apne piche dekha hai maine muje ye sab pasand nhi hai. Aakash - pichle ek saal se apko ye kehna chahta tha pr na aap mile na hamara samay. Ye jawab main abi nhi mang raha hu , Main wait karuga apke clg wapas aane ka thoda waqt aur dhehr sakta hu. Priya ne Akash ki baato ka jawab nhi diya aur uski nam aankhien aur sahme hoto se uski baate sunti gayi , tezz bajte train ka siren ki aawaaz aati hai aur station k loudspeaker se Jaipur aa jaane ki announcement sunai deti hai Aakash Priya ki jukti aankho ki taraf dekh raha hota hai aur priya udh kr apna bag shelf se utarti hai. Aakash ki dhadkane tham si rahi hai priya ko jaate dekh wo uthkar darwaze pr khada ho jata hai k Priya kuch bole pr wo bina palte chalti ja ri hai, kyuki agar wo aisa kare to khud ko rok nhi payegi train ke jaane ka siren baj jata hai Akash priya ko apni aankho se ojhal na ho jane tak jaata dekhta rehta hai. Akaash ke kado ko koi hila raha hai aur ek aawaaz sunai deti hai janab Raigarh jaane wali tesri train b nikal gayi hosh mein aa jao janab- Station Master This story dedicated to my sweet frnd Liji :)
Posted on: Fri, 02 Aug 2013 08:22:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015