Summary of Baba Ji’s Blessings (5-Apr-14, Rajkot, - TopicsExpress



          

Summary of Baba Ji’s Blessings (5-Apr-14, Rajkot, Gujrat)- Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) Aaj Rajkot mein kuch barso ke baad aane ka mauka mila hai. 18 Mar se ye yatra, Delhi se shuru hui aur Maharashtra, Gujrat ke aaneko sthano mein jaakar Satsang karne ka avsar praapt hua. Chote bacho, jawano aur buzurgo ki rasna se suna, Gujrati, Hindi, Angrezi ya nepali mein jo bhaav rakhe gaye vo hamein Satye ki taraf agrasar kar rahe the. 2) Peer Paigambron ne sada hi sandesh diya hai ki aatma ko mukti prapt hoti hai, jab ye apne mool Parmatma ko jaan leti hai. Aise hi sandesh aaj bhi diye gaye. Ved, kuran, Shastr, Sant, sabhi keh rahe hain ki jaanane se hi kalyaan hoga. Kabir Ji ne bhi kaha ki maine Satye ko jaana, tabhi isko maana hai. ‘Jab jaaneya toh mann maaneya’. Aur bhi kaha jaata hai ki ‘Main sarv Niranjan deetha’. 3) Sanshey tabhi mit-te hain jab jaan jaate hain varna bhram bane rehte hain. Jab ujala hota hai toh andhkar ka naash ho jaata hai. Ek insaan ja raha tha par ruk gaya, kyunki usko pagdandi pe saanp nazar aa gaya tha, ghar ja nahi raha ki saanp hatte toh main ghar jaun. Saari raat khada raha, khud bhi pareshan hua aur ghar waale bhi pareshaan hue. Subah jab thodi roshni hui toh maathe pe haath rakha ki ye toh rassi thi jisko saanp maan raha tha. Toh andhkaar ke kaaran bandhan me pada raha kyunki bhram tha, aur bhram kyu hua, kyunki andhakar tha. ‘Tajo sab bhram, bhajo Paar Brahm’. Jab tak Gyan ki roshni nahi hoti, aatma ka bhram nahi mit-ta aur aavagaman ka chakkar bana rehta hai. 4) Kolhu ka bail chalta rehta hai, tel nikalta rehta hai, par kolhu ka bail vahin rehta hai, usko manzil milti nahi hai. Isi tarah aatma bhi iss shareer mein padi rehti hai. Manushye ko janm mila ki ye avsar hai ki ismein Parmatma ki pehchan kar le. ‘Bade bhaag Maanush Tan Paava’. Ye iski kirpa hai ki isne hamein ye avsar diya hai. Parmatma ka agar aatma ko bodh nahi hua toh vo nij ghar se anjaan hai. Jisko apne ghar ka nahi pata, toh vo bhatkega hi. Aap pandal mein pahunche hain aur Satsang samaapti ke baad apne ghar chale jayenge kyunki aapko apne ghar ka pata hai. Isi tarah aatma ne jab nij ghar ko jaan liya toh phir kaisi bhatkan. Jeevan jeete hue bhi aatma ne isi ko apna ghar maan liya hai toh jeevan safal hai. 5) Agar aatma ne Parmatma ka bodh nahi kiya, keval jikr kiya hai, isko dekha nahi hai, toh kalyaan hone waala nahi hai. kabir Ji ne kaha ‘Main sarv Niranjan deetha’, deetha shabd Gurbani mein bhi aata hai ki ‘ Kewal deetha vadda hoyi’. 6) Children ask how you can see the formless, ki jiska koi roop hi nahi hai, use kaise dekha ja sakta hai. Par Guru saahebano ne kaha aur likha ki ‘Adrish deethe’. Vo Gyan ki drishti hai jisse ise dekh paate hain, Meerabai ko Gyan ki drishti mili, Arjun ko Mahabharat ke maidaan mein Gyan ki drishti mili tabhi usne chaaro dashaon ko namaskar kaha. 7) Abhi Gujrat mein ghoom rahe hain, jagah-2 Gujrati par boards lage hain, Maharashtra mein Marathi mein boards lage hain. Hamari aankhein Kannad, Marathi, Gujrati mein likhe akshar poori tarah se saaf-2 dekh rahi hain, lekin Gujrati bhasha ka gyan nahi hai toh samajh nahi aa raha. Lekin jinko Gujrati bhasha aati hai, vo dekhte bhi hain aur samajhte bhi hain. Isi tarah Gyan drishti milne par insaan dekh paata hai ki mera mool kya hai, Parmatma ki koi bhasha ya jaati-paati nahi hai, toh uski ansh aatma ki kaise hogi. 8) Manav jaati ko kalankit na karein. Kehna padta hai ki kartoot pashu ki maanav jaat. Ek taraf 21vi sadi mein technology ne itne saadhan pakda diye hain, tarraki ki hai, par doosri taraf kitni haivaaniyat par utar aaya hai insaan. Toh humne iss jeevan ki chaal ko Prem, Daya aur Karuna se chalna hai. 9) Abhi Porbandar mein bhi hokar aaye, Gandhi Ji ka bhajan ki peer paraayi jaane re. Hum ek doosre ke dukh dard ko samjhein. Hum jaanwar aur pashu pravirti waale na banein, insaano waali fitrat ho. ‘Kuch bhi bano Mubarak ho, par pehle tum insaan bano’. Agar insaanyat nikal do toh insaan kaisa, agar shakkar mein se mithaas nikaal do toh shakkar kaisi. Insaan 2 pair waala janwar ban jayega agar insaaniyat nikal jaayegi. Hum kisi ko thukrayein nahin ya dutkaarein nahin. Hum insaano ki kadr karein, keede makode na samjhein. Apni taraf bhi ehsaas ho ki main Prabhu ki uttam rachna hun toh main kis taraf ja raha hun. 10) Daas phir se apni kushi zaahir karega jo Rajkot mein darshan aur Satsang karke prapt hui hai. Hamaari duniyaavi soch nahi, adhyatmik soch bane, hum apne jeevan ke manorath ko poora karke sansaar mein aana safla karein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Mon, 07 Apr 2014 05:52:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015