Summary of Rajmata Ji’s Blessing ( 31-Aug-13, Pattaya, - TopicsExpress



          

Summary of Rajmata Ji’s Blessing ( 31-Aug-13, Pattaya, Bankok)- Sadh Sangat Ji Pyar se boliye Dhan Nirankar Ji 1) Abhi tak sabhi Mahapurshon ne gaakar, kavita ya bhaashan roop mein ek hi baat kahi aur har Insaan ke liye kahi. 2) Praani kehte hain usko Prano ka maalik jo hota hai, chaar insaan uthaakar le jaate hain insaan ko, aur koi pooche ki kaun jaa raha hai, toh kehte hain prani jaa raha hai, par usmein toh praan hi nahin hain. 3) Uth jaag musafir bhor bhayi, ab rain kahaan jo sowat hai. Subah-2 hum bache ko uthaate hain school jaane ke liye, toh voh karwat badal kar doosri taraf munh mod leta hai, toh hum kehte hain ki beta tu soya nahi hai, tu sone ka bahaana kar raha hai taaki school na jaana pade. Yahaan bhi Mahapurush kehte hain ki Tu gaflat ki neend mein kyon soya pada hai, Tu jaag, ye jaagne ka time hai Tera. 4) So syaane hon toh unki ek hi awaaz hoti hai, aur murkh 2 ya 4 bhi hon, toh vo rola daal dete hain aur har koi kehta hai ki meri baat theek hai. 5) Bhakti saara sansaar karta hai, uthte hi Ram-Ram karne lag jaate hain, par Guru ki kirpa se jab ye Ram mann mein basta hai, tab iska phal milta hai. 6) Aadhi Ghadi ya aadhe se bhi aadha hissa, sangton mein baithkar jab aapas mein vachan bilaas hote hain, ya kuch suna jaata hai, toh uska bahut laabh hota hai. 7) Chand aur Chakor ka pyar hota hai, ki Chakor zameen par khada hua Chand ki taraf dekhta rehta hai aur Chand chup jaata hai. Uski Bhakti adhoori si ho jaati hai. Par Bhakt ki Bhakti kabhi adhoori nahi hoti, vo Poori hoti hai. Isiliye kehte hain ki Poore ka kiya sab kuch poora, vaadh ghaat kuch naahi. Gyaan bhi, Baat bhi aur Dhyaan bhi. 8) Dataar hamein aisi sojhi de ki hum Satsang aur Simran karte rahein. 9) Kaha jaata hai ki koi Bhagwaan ko nahin jaan sakta, lekin hum naam lete hain Meera, Shabri aur Hanuman ka, naam le lete hain ki unhone jaana Bhagwaan ko. 10) Meera jagah-2 jaakar kehti rahi naach-2 kar ki Paayo ji maine Naam ratan dhan paayo. Ravidaas Ji se ye Gyan Ratan paaya. Krishan Ji aur Arjun 32 saal ikathe rahe par Arjun pehchan nahi paaya. Jung ke maidan mein Arjun ko ye Viraat swaroop dekhne ko mila toh Arjun keh utha ki Tere aage ko, Tere peeche ko, Tere baayein ko, Tere daayin ko Namaskar. 11) Isi tarah hi jab ye Satguru milta hai tabhi ye Gyaan hota hai. Jab diya ghar mein jalaayein toh Roshni ho jaati hai. 12) Sant yahi kehte hain ki Dataar kirpa karna ki jaise hamein ye deedar hue hain, isi tarah sabko hon, taaki sabko sakoon aur chain mile. Aur jitni bhi vastuein hain, unse na sakoon milta hai naa chain milta hai. Chaahe insaan ke paas kitne hi dher lage hon vastuon ke, phir bhi uski nazar hoti hai ki mujhe aur mile, ye bhi mile vo bhi mile. Itna dhan ho ki sambhaala na jaa sake, phir bhi kehta hai mujhe aur bhi dhan mil jaaye. Iski bhookh kabhi khatam nahi hoti. Bhook tabhi khatam hoti hai, jab ye Prabhu ki taraf dhyaan deta hai. 13) Jab Prabhu ke saath insaan ki Bhakti jud jaati hai, phir kehta hai sab kuch mere paas hai, bas Anand hi Anand hai. 14) Guru se jab jaante hain ki ye Prabhu Nirakar Parmaatma hai, phir shaanti ho jaati hai aur sakoon ho jaata hai. Phir khaana khaate hue, Paani peete hue bhi insaan kehta hai ki Anand ho gaya. 15) Jab ye Aatma, Parmatma se mil jaati hai, phir ye Aatma kehti hai ki Anand ho gaya. 16) Yahi ardaas, yahi prarthna karein ki Dataar kirpa karna, hamein Bhakton ka sang dena taaki hamein bhi iski (Nirankar) yaad bani rahe aur hum bhi gunn gaate rahein, hamein bhi sakoon milta rahe aur hum doosron ko bhi baant-te rahein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Sun, 01 Sep 2013 20:31:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015