Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain Suna hai log usay - TopicsExpress



          

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain So us ke sheher main kuch din theher ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apnae aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e- naz us ki So hum bhi us ki gali se guzar ka dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o- shayari se shaghuf So hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharate hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat usey chand takta rehta hai Sitare baam-e- falak se utar ke dekhte hain Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usey titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno theher ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain siyah chashm to dekhey hain par na aese bhi So us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So hum bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain Suna hai aaina tamasaal hai jabin us ki Jo saada dil hai usey ban sanvar ke dekhte hain Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur he lal-o- gauhar ke dekhte hain Suna hai chashm-e- tassawar se dasht-e- imkan main Palang zawaiye us ki kamar ke dekhtay hain Suna hai us ke badan ke tarash aise hain Ke phool apani qabayain qatar ke dekhtay hain Woh sarvqad hai magar begul-e- muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain Bas ik nigah se loota hai qafila dil ka So raherwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain Suna hai us ki shabistan se mutasil hai bahisht Makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain Rukey tu gardishein us ka tawaaf karti hain Chaley to us ko zamaney theher ke dekhte hain Kisay naseeb ke be perahan usey dekhay Kabhi kabhi dar-o- deewar ghar ke dekhte hain Khaniyan hi sahi sab mubaalghey hi sahi Agar woh khwab hai tabeer kar ke dekhte hain Ab us ke sheher mein theherein ki kooch kar jayein “Faraz” aao sitare safar ke dekhte hain
Posted on: Sat, 28 Sep 2013 13:50:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015